aaj bhi mujhe yaad hai

jab tu mere ghar aayi thi
maa ko kitani bhayi thi,

ek jhijhak thi mujh mein
par tu bahut muskurayi thi,

dil ke ek kone mein
teri tasweer samaai thi,

komal man ki woh tasveer
aaj bhi mujhe yaad hai,

jab hum car se jaa rahe the
pehali baar tere sath antakshari gaa rahe the,

pyar ke geet maine gaya tha
sab ke beech tumhein apana banaya tha

geet ki woh line
aaj bhi mujhe yaad hai

ghar ka woh hissa
baitha tha main tere hi pass

tu jab pair hilla rahi thi
mere dil ki dhadkan bardha rahi thi,

anhoni aahat aa rahi thi
meri dhardakno ka bardh jana,

chupke se tumhein samjhana
aur tera maan jana,

aaj bhi mujhe yaad hai,
teri meri pehali mulakat,

lab mein rahate the hum pass-pass
baate kerne ko man gudgudaya tha,

jhuuth hi maine bola tha
tum bahut achchi gaati ho,

boli thi tum kisne tumhe bataya
ek jhuth aur tumne hi to bataya tha,

woh tera sach maan lena
khud ko na jaan lena,

aaj bhi mujhe yaad hai...


tu jab mujhse lardati thi
mere seene per dono hatho se vaar kerti thi


teri woh meethi-meethi maar
jo deti thi mere jeevan ko dhar
aaj bhi mujhe yaad hai,
aaj bhi mujhe yaad hai...!

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts