jeena humein aaya hi nahi

jo bhi chaha kabhi dil se,
woh to humne paya hi nahi,
marte rahe hum pal pal yahan pe
jeena humein aaya hi nahi.

humne to sirf itna hi chaha,
ki humare jeewan mein kuch phool khilein,
lekin jab pahunche hum chaman mein,
humko to sirf kante hi mile,
koi bhi sitam nahi hoga yahan pe,
duniya ne jo mujhpe dhaya nahi.

humse huyi bas itni khata ki,
sabko hi aapna keh beithe,
aapno ki to baat hi chordo,
gairon ke bhi hum ghum le beithe,
bhulane ke liye gham ka zeher bhi peena chaha,
peena bhi humein aaya hi nahi.

duniya ki to baat hi kya hai,
aapno ne bhi humein thukraya hai,
humare bhi seene mein dil tha dhadakta,
aaj pathar inhonein banaya hai,
aise diye hain sabhi ne zakhm humko
jinko yeh rooh abhi tak seh paaya hi nahi.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts