ek hakikkat nahi ek mithya thi woh

muskurahat nahi ek khamosi thi woh,
naa jane kab aayi, kab kahan gayi,

ek purvayi nahi ek chubhan thi woh,
jab bhi aaya in palko ko bhigo kar chali gayi

ek awaz nahi hothon ki ek pukaar thi woh,
naa jaane kab hothon par aayi kab chali gayi,

ek hakeekat nahi ek mithya thi woh,
naa jane kitne sapne tord woh chali gayi,

meri khamoshi nahi ek dua thi woh,
hothon tak aane se pehle khuda ke dar se chali gayi,

phoolon ki nahi katon ki kahani thi woh,
jab yaad aayi jane anekon zakhm dil par chord gayi,

mom ki nahi pathar dilon ki kahani thi woh,
jalne se pehle naam pathar par chord chali gayi,

lafzon ki nahi khamoshi ki kahani thi woh,
jaane kitne manzer dil mein chord nazron se guzar gayi,

khamosh hasraton ki nahi dilon ki kahani thi woh,
ek parchayi chord jane kab kahan chali gayi

raaston ki nahi dilon ki dooriyon ki kahani thi woh,
dil ko tanha karti khamoshi suna ker chali gayi.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts