dua karo woh din ho jaaye aaj

naaraz hun zindagi se,
naaraz hun aaj main khud se,

kyon nahi samjhta main ek choti si baat,
kyon har waqt karta hun ussi ki baat,

nahi mil saka jis ki thi mujhe talash,
kyon rehta hun har dum uski yaad main udaas,

kehta hun khud se bhool jaaunga ek din,
kab aayega.. koyi to batao woh din,

kab aaygi hassi wapis mere hoton pe,
kab dekhunga main koi sapna khushnuma sa,
nahi jeeya jata mujhse ab yun tannha.. udaas,

agar nahi aana hai woh din,
to yaaron sab dua karo,
maut jo aani hi hai ek din, 
woh din ho jaaye aaj...!!

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts