sab kuch koya hai humnein bas iss dil ko lagane se

mila hai mujhko dard yahan pe, humesha hi iss bedard zamane se,
main to na jane kaise zinda hoon, aur na jane kis bahane se,

aapne dil par karte the bharosa aur bahut tha naaz humein,
aaj sab kuch koya hai humnein, bas iss dil ko lagane se,

dil ke kisi bhi hisse ko, chune se tees si uthati hai,
itne zakhm mil gaye hain humko, ek aap ko aapna banane se,

humnein khud hi unse pyaar kiya, khud hi dil ko lagaya tha,
yeh humari hi galti hai yaaron, gila kya karein hum iss zamane se,

humnein to socha tha aye dost, ki haale-dil aapko sunayenge,
kyoki suna tha ki dard kam hota hai yahan kisi ko batane se,

gairon ki chalo baat hi kya, aapne bhi aaj humse door huye,
bas yeh hi to sila mila hai humko, aap se nazrein milane se,

paa na sake hum kabhi bhi khushiyan, aur jee na sake kabhi chain se,
“raj” ko milega aaram bas, khud ko hi ab mittane se. 

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts