mere khwaab kahin toot na jaaye tumhare aane tak

inn mohabbat ki wadiyon mein dil bekarar lekar,
kahan chala gaya hai tu itna bada intezaar dekar,

meri hasraton ko mil jayega sukoon tum laut kar aa jaao,
phir mat jaana kabhi meri sooni aankhon ko khwaab dekar,

tumhare siwa kisi ka khayaal bhi na kiya maine,
meri zindagi ko ek baar saja do apne pyar dekar,

meri dil ki duniya sirf tumse hi aabaad thi,
isko phir se zinda kar do apni ek muskaan dekar,

mere khwaab kahin toot na jaaye tumhare aane tak,
hum jala rakhein hain mohabbat ki shama tera naam lekar.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts