gila to iss baat ka hai

woh jo bhula deti to iska koi gam na tha,
gila to iss baat ka hai ki usne nazron se gira diya,

apna samjha tha usse bas yahi meri bhool rahi,
meri har chahat ko usne thukra diya,
gila to iss baat ka hai..

keh gayi ki laut kar na aayungi,
phir tujhe kabhi na chahungi,
par jaate jaate woh phir milne ka ek wada de gayi,
gila to iss baat ka hai..

kari to usne khud bewafaai mujhse,
aur badnaam sare aam kiya,
par har kisi ki nagah mein,
bewafaa mujhe bana gayi,
gila to iss baat ka hai..

woh patthar dil thi,
usne mere ashko ka bhi na khayal kiya,
dekar bewafaai ko apni majburi ka naam,
mujhko tanha chord gayi,
gila to iss baat ka hai.. 

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts