ghazal pardhiye aur mera kam dekhiye,

aghaz nahi dard ka anjaam dekhiye,
meri har ghazal mein unka naam dekhiye,

aankhon ka dukh dekh kyon dard mein rahein,
iss rooh ko jo mil gaya aaram dekhiye,

kahate ho pyar mein kya mil gaya mujhe,
ghazal pardhiye meri, mera kam dekhiye,

pursokoon sare yeh din bhool jayenge,
kisse sham bheegi, meri sham dekhiye,

badal nahi sakenge ab jo mera hal hai,
main khush hoon, aap apana kaam dekhiye,

ashiq ki pooja bhi hai kuch alag-alag,
samjhenge ap gar mera salam dekhiye,

sar jhuka ke uss par yeh jal chardhayenge
jis patthar pe likha unka naam dekhiye,

apni ibadat ko aap yeh rang dejiye,
sari  duniya sa alag yeh kam dekhiye,

har patti mein radha talash kijiye,
drakht mein chipa hua shyam dekhiye.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts