abb to aa jaao

yun to duniya ki har rangat mere pass hai,
par tere bagair lagta sab kuch udaas hai.

chaah kar bhi main jise kabhi bhoola nahi sakta,
aye dost woh ek teri hi to mitthi si yaad hai.

yun mujhse rooth kar kabhi door jaana nahi tum,
iss tannha zindagi ko bas ek tujhse hi to aas hai.

koi bhi iss jahan mein tujh sa nahi hai mere liye,
kaise dikhaun aye dost ki tu mere liye kitna khas hai.

main tujhse door reh kar jee loon yeh mumkin nahi,
tere bagair humaara saans lena bhi to bekaar hai.

hass raha hai har koi mere haal pe ki abb to aa jaao,
mere jism ke zarre zarre ko bas ek teri hi talaash hai.

juda hoke bhi tu mujh mein samayi hai

juda hoke bhi tu mujh mein samayi hai,
mere khwabon mein tu phir chali aayi hai.

siwa tere ab meri aankhon ko
to kuch bhi nahi deta dikhayi hai.

saath chord kar mera ab to
tere sang chali jati meri parchayi hai.

jab bhi apne haathon ko dekhun to,
yaad aati tere badan ki chiknayi hai.

jahan bhi dekhun ab to main bas
nazar aati teri aankhein sarmayi hai.

aaj phir dekh kar is raaj  ko
teri aankhon mein kyun aayi rulayi hai.

juda hoke bhi tu mujh mein samayi hai,
mere khawabon mein tu phir chali aayi hai. 

ab sirf tum hi yaad aate ho

rimjhim si sawan mein, 
barish ki sargam mein,

yeh thandi aur mast hawaein, 
dhara aur bundon ke sangam mein,

pagal mann ko kyon tarsate ho, 
ab sirf tum hi yaad aate ho. 

inn mast sanson ki lay se, 
tann mann aur hariday se,
mera rom-rom tujhe pukare, 

apne prem ki say se,
chup ke aankhon se kya jatate ho, 
ab sirf tum hi yaad aate ho.

mere hariday pe mera hi adhikar naa raha, 
hamare prem ke aage sansaar naa raha,

kya kahun apne hriday ki kamana, 
tujhe chhord ke khud se bhi pyar naa raha,

adharon par pida ki chap ka anubhav dilate ho, 
ab sirf tum hi yaad aate ho.

wahi ummed wahi khwaab wahi ghutan

kisi bhi shaaye ka jahan mein yakeen kuch bhi nahi,
hamare dil ke liye ab haseen kuch bhi nahi,

wahi ummed wahi khwaab wahi ghutan,
yahan per paooge taza tareen kuch bhi nahi,

nayi zameen aur nigaahon ki talash hai zaari,
hai aashmaan galat aur zameen kuch bhi nahi,

zamane bhar ke nigaahoon ko bhi dekh liya,
lekin tumhare aankho se gehara kuch bhi nahi,

na jaane kaun kaha kis tarah badal jaaye,
kisi bhi shaks ka ab to yakeen kuch bhi nahi,

badalte waqt ne har baat bhi badal daali,
hai ab mukammal aur apna kuch bhi nahi..

seene mein hai dard aur dhadkan ruk rahi hai

seene mein hai dard aur dhadkan ruk rahi hai, 
yeh ankhein nam hoke niras se zuk rahi hai,

na jaane mohabbat yeh kaise dard de rahi hai, 
kal khusi aur aaj ankhon mein nami de rahi hai, 

itni kareeb aake woh mujhse door jaa rahi hai, 
aaj bhi khusi ke liye uski dilse dua nikal rahi hai.

baatein uski aaj kanto ki tarha chubh rahi hai, 
zindagi mein aaj mujhe tanhai mehsus ho rahi hai, 

khusi aake choukat pe ab wapas laut rahi hai, 
khusi bhari zindagi meri dheeme se simat rahi hai.

ek hussna ki taarif me shabd pard rahe hain kam

uss hussn ki taarif me shabd pard rahe hain kam,
jinse milne ki justuju har par kar rahe hain hum,

dil ko lool lena unka shauk sa lagta hai,
dil lutta dena humne bhi sikh rakkha hai,

woh lufft lete hain humko dard dene me,
nassa dhund rakha hai humne bhi dard sahne me,

ek baar jo wo dekh le yaha aaker,
luta de ye zindagi unhein apna banaker,

unhi nazaaro ke ujaalon se hi hai rooshan,
mere dil ka har kona aur yeh baawara mann,

saangemarmar se taraasi huyi se wo lagti hai,
khawaabon me bhi mujhe deewana kare rakhti hai,

jo ruthi iss baar to nikal na jaaye ye dum,
ek hussna ki taarif me shabd pard rahe hain kam,
ek hussna ki taarif me shabd pard rahe hain kam...

bhula to sakta tha par bhulaya nahi hai

bhula to sakta tha par bhulaya nahi hai,
ye dil kisi aur se lagaya nahi hain,

dooriyan jismo mein hi mumkin hai dilon mein nahi,
is khayal ko zehan se mitaya nahi hai,

jis dil mein bas gayi thi teri aankhein,
us dil mein kisi aur ka chehara basaya nahi hai,

pata hai mujhe tardap uthti ho tum meri khamoshi se,
isiliye apne dil ko maine rulaya nahi hai,

meri sadaayein tum tak nahi pahuchti shayad,
iss ehsaas se khud ko sataya nahi hai,

gumaan hota hai mere hanste dil se tere aane ka,
isiliye roothe huye apne dil ko manaya nahi hai,

ajnabiyon sa bartav karne lage ho humse,
par jane kyu tu lagti paraya nahi hai,

aaj bhi ummeed hai tere laut aane ki,
tabhi to kafan khud ka mangaya nahi hai.

aaj lo unhone humein phir yaad kiya

aaj lo unhone humein phir yaad kiya,
na jane phir koun sa julm taiyaar kiya,

humein to adaath hai har dard ko sehne ki,
lo aaj phir apne aap ko tere daarpe yuh hazir kiya,

jaldi se kar le hamare dil ko tere teer se zakhmi,
khuda se humne chand lamhein zindagi ke udhar liya,

aaj na koi dard hoga na niklengi koi ahh humse,
khuda ki kasam aaj humne apne aapko iss kader taiyaar kiya,

aaj lo unhone humein phir yaad kiya,
na jane phir koun sa julm taiyaar kiya..

unki bewafai ne shayar bana diya

mujhe na aati thi mohabbat karni,
lekin unhone aashiq bana diya,

mujhe na aati thi shayari karni,
unki bewafai ne shayar bana diya,

yun to hum peete na the sharab bhi,
unki yaad me jo aanshu nikale,
mujhe sharabi bana diya.

achambhit reh gaya aaj yeh roop dekh kar

achambhit reh gaya aaj yeh roop dekh kar,
naa ro saka, naa hans saka un baato ko sunkar,

khel to gudde gudiyo se khelate hain log,
kaise khush rahoge kisi ke dil se khel kar?

bade fakra se kabhi jiska naam lete the
paaoge khushi uss naam se rishta tord kar?

yeh sachh hai humaara koi naata nahi tha,
phir kyu banaya pyaar ke dhaage se bunkar?

anjaan the hum, ek duje se, rehane dete..
kyu mile gale, bas gaye dil mein ansh bankar?

badi aasani se keh diya, kya haq hai tumhaara,
maine socha naa tha yeh waqt aayega iss dagarpe,

sach hai jis saks ke kaaran pyaare the,
uske nahi to nahi reh paaoge mere bankar,

jaao karta hoon aazad apane haq se main,
mujhe pasand nahi.. laaun jhute rishte chunkar,

rishto ki paribhasha se rahane do aazad,
nahi sikha paaunga rishta khanzar dekhkar,

shisha samajh pathhar naa maaro yahan,
nahi tord paaoge kabhi mujhe pathar fenkar,

jaanta hoon kya hoti hai khudi ki
raaj nahi jeeya hai kisi ehsaan ko lekar.

ek rishta aur bhi hai mera

aankh jo num huyi,
dil ki tardap kuch kaam huyi,
kis ko bataye apne dil ki baat,
kis ko dikahaye apne dil ke daag,

koi hota jo apna,
hum bhi zindagi ko jee lete,
usse apni bahaoon mein bhar lete,

koi hota jo apna,
usse apni aankhoon mein bassa lete,
aur dil mein usse chuppa lete,

magar iss matlabi duniya mein,
koi bhi hamara na hua,
apna saya bhi saath chord gaya,

aur kya gila kare apni zindagi se,
chord kar yeh bhi ek din chali jayegi,
haath jo pakardna chaunga,
woh bhi chord kar chali jayegi,

woh bewafa hai to kya,
jab woh tardpaygi,
to chord kar main bhi door chala jaunga,

ek dost aur bhi hai mera,
ek rishta aur bhi hai mera,
gum aur tanhaiyon se....!!

kahun kya us milan ke liye main

kahun kya us milan ke liye main,
jab nazare nazaron se takraayi thi,

jaise duniya kahi ruk si gayi,
jab jhuka ke palke woh muskurayi thi.

kahun kya us milan ke liye main,
jab mere haatho mein haath usne diya tha,

jaise woh ghadiyan kahi tham si gayi thi,
jab ek sundar safar mein usne mera saath diya tha.

kahun kya us milan ke liye main,
jab labbo ne labbo ko chhua tha,

jaise dhadkan kahi ruk si gayi,
jab hazaaro janamo ko maine uske saath jiya tha.

kahun kya us milan ke liye main,
jab do jism ek jaan huye the hum,

jaise raat kahi tham si gayi,
jab pyaar ke saagar mein yun doob gaye the hum.

kahun kya us milan ke liye main,
kahun kya is milan ke liye main...

I hope you will forget

you say you cannot forget
and you aren’t ready to forgive
but I need your friendship
more than you will even know...

I need you there to live
without you by my side today
life’s been going, oh so slow
I miss your calls...

our endless talks
the places we would go
you can’t even bear to look at me,
and I don't know my mistake...

and a few thoughtless actions,
when you ran away and hide,
I know we cannot take it back,
as much as we would like to...

but we could forget
and start all over
just friends, that’s me and you..


if time is what you need,
then I guess that’s what you will get,
but I need you there for me soon,
I hope you will forget.

itne hue kareeb ki hum door ho gaye

kyon zindagi ki raah mein mazboor ho gaye,
itne hue kareeb ki hum door ho gaye..

aisa nahin ki humko koi bhi khushi nahin,
lekin ye zindagi to koi zindagi nahin,
kyon iske faisale humein manzoor ho gaye,
itne hue kareeb ki hum door ho gaye..

paaya tumhein to humko laga tumko kho diya,
hum dil pe roye aur ye dil hum pe ro diya,
palakon se khwaab kyon gire kyon choor ho gaye,
itne hue kareeb ki hum door ho gaye..

tere khayal se bata aakhir bach ke kahaan jaaun main?

khol do apni aankhein ki har taraf udaasi chhayi hai,
suraj hai bujha hua aur subah umeedein lekar aayi hai.

phool tittli jhugnu badal paani.. baithe hain kabse udaas,
shayad sabne tere hi intezaar mein palkein bichhayi hai.

baras raha hai har taraf bas ek tere hi roop ka paani,
jhumti hai fiza aur yeh hawaaein bhi teri deewaani hai.

tere khayal se bata aakhir bach ke kahaan jaaun main?
jahan bhi gayi nazar bas teri hi surat nazar aayi hai.

mere dil mein teri tamannaon ke siwa kuch bhi nahi,
tu hi to aye jaanejana mera kissa aur meri kahaani hai. 

kaash aisa hota

kash aisa hota….
mera khawaab hakikat ban jaate,
aur waqt ka pahiya chalte chalte,
inn lammho me tham jaata,

kash aisa hota..
tumhare baahon ke ghere me,
meri tanhaaiyaan kho jaati,
tumhaari aankho ki gehraayi me,
meri puri kaayanat gumm ho jaati,

kash aisa hota….
tumhare aankho ke saare moti,
simmat aate mere hatheli me,
tumhare jeewan ke saare andhere,
ghul jaate mere saweron me,

kaash aisa hota…
tum hoti mere sath hamesha,
jaise sip aur moti,
suraj aur roshni,
maang aur sindur,
deepak aur joti,

kaash aisa hota

dard ne aazma liya dil ko

hum ne shama bana liya dil ko,
jab bhi chaaha jala liya dil ko,

dard ne aazma liya dil ko,
bebasi ne bacha liya dil ko,

raja rani ki dastan perdh kar,
hum ne phir se sula liya dil ko,

tord dena tha zindagi ne par
khud-khushi ne bacha liya dil ko,

zakham rakhe hain kis kone mein,
dekh main ne saja liya iss dil ko,

log seene mein qaid rakhte hain,
hum ne sar par chardha liya dil ko. 

kyon daga kar diya

jab waada kiya tha na rulayenge to kyon rula diya,
jab waada kiya tha na denge daga to kyon daga kar diya,

socha tha ek dost hai hamara jo samajhega hamein,
phir kyu thukra ke aapne hamein begana bana diya.

mujhe tum yaad aaoge

tumhare sath guzara hua har ek lamha, 
mere yaadon mein jab mujh ko satayega, 
mujhe tum yaad aaoge,

kisi bhi shaam ki tannhayion mein,
koi suhana lammha jab aayega,
mujhe tum yaad aaoge,

kabhi hansna kabhi roona, kabhi gusse bhari baatein,
kabhi gumsum bohat, chup chup mullakatein,
agar ayinda saaloun mein, koi mousam kabhi yeh rang dikhayega,
mujhe tum yaad aaoge,

main apne aap mein khush to rehsakta hoon bohat, 
lekein mujhe ek bath ka darr hai,
agar aagey bahot agey khud ko mere nazdik koi layega,
mujhe tum yaad aaoge,

duniya mein aitbaar ke kabil koi nahin, 
mere zindagi ka ab tak haasil hai yehi phir bhi,
zindagi ke kisi kamzor lammhein mein,
kabhi koi agar dil mein samayega,
mujhe tum yaad aaoge,

main tum ko khud se bhi agar 
bhoolne ki jo koshish karunga,
to yeh kabhi ho hi nahin sakta,
tumhara yaad reh reh kar,
mere dil ko kabhi jab,
khoon ke aanshoo rulayega,mujhe tum yaad aaoge,

tumhare saath ke aksar lammhein,
raaton mein mujhko aa utthate hain,
mere neendein churaate hain,
tab mere bechain-niyon ko phir,
saant karne ka beayra jab koi uthayega,mujhe tum yaad aaoge,
ha mujhe tum yaad aaoge.

aankh wo mujhse milati kaise

dard seene se lagaati kaise,
wo mere saamne aati kaise,
main to bas raashton ko pyara hoon,
wo mujhe dil mein basati kaise,

wo hassa ker bhi rula baithi thi,
phir rula ker wo mujhe hassati kaise,
main tamanna hi nahi tha uska,
baat ye mujhse chupati kaise,

usse rutha hi nahi kabhi main shayad,
bewajah mujhko wo manati kaise,
unke diye dard bayaan kerte the,
aankh wo mujhse milati kaise,

jo meri duniya mein aayi hi nahi,
wo meri duniya se jaati kaise,
unke daaman ka daag bann gaya tha ye raaj,
wo mujhe bhul bhi pati kaise

mar kar jeena kya hota hain koi mujhse pooche

yeh dil ghabrata hai,
jab koi apna yaad aata hai,
pal pal tardpna kya hota hai koi mujhse pooche,
mar mar kar jeena kya hota hai koi mujhse pooche.

unke intzaar mein hi zindaagi ki kaamna ki thi,
warna janam se hi maut ki tamanna ki thi,
intzaar mein zindagi kaatna kya hota hai koi mujhse pooche,
mar mar kar jeena kya hota hai koi mujhse pooche.

apno ko chordnaa koi tumse seekhe,
waadon ko tordna koi tumse seekhe,
bewafayi sehna kya hota hai koi mujhse pooche,
mar mar kar jeena kya hota hai koi mujhse pooche.

dekh kar nazarein ferrna aadat hai tumhari,
fir bhi tumhein dekhna chhahat hai hamari,
mohabbat nibhana kya hota hai koi mujhse pooche,
mar mar kar jeena kya hota hain koi mujhse pooche.

nahi maaloom tumhein ki chaahat kya hoti hai

nahi maaloom tumhein ki chaahat kya hoti hai,
dard-aye-dil ke liye raahat kya hoti hai,

tutega jab kabhi dil apna, 
maaloom hoga tumhein bhi,
ki dil tordne ki himaakat kya hoti hai,

nahi jaanate woh bhi, 
chaahat ke jinhone daawe kiye,
hadd se jyada kisi ki chaahat kya hoti hai,

pyar karoge kabhi jo tum bhi hamari tarah,
pata chalega tab kahi ki mohabbat kya hoti hai.

it’s dark... it’s very-very dark

it’s dark, it’s dark, it’s very-very dark.
who’s here? who’s here? who’s here so near?
it’s dream? dark dream, nightmarish fear
why do you go so-far always?

my sufferings have their dreadful ways
pitch darkness, finds me easy prey
I often forget all my pray’s
but it’s your odor where are you?

I am here, my dear it’s me, my dear
it’s me, dear me, you are dreaming fear.
now don’t be scared, feel my fingers,
don’t throw me off nightmare lingers.

can’t you feel now my palms? darling
they are full of love, let me touch you.
what scares you now? I am by your side.
we are so well known, I am not that new.

how darkness can make us strangers?
we are same in light, we are same in dark,
come back to senses quickly now

we are on our bed, we are not in a park,
we are same in light, we are same in dark,
it’s dark! pitch darker,  it’s very-very dark.

jeena bhi nahi aaya hamein

khud pe inaayat karke, 
jeena bhi nahi aaya hamein,
dil khool shikaayat karke, 
jeena bhi nahi aaya hamein,

hain wo bewafa to unki aadat hi hai yeh,
unse phir nafrat karke, 
jeena bhi nahi aaya hamein,

mere jaisa bhi koi doosra nahi hoga yahan,
unse be-intehaa mohabbat karke,
 jeena bhi nahi aaya hamein,

kyoun dil tootta rehta hai iss tarha raaj ka,
dil ko apne kaid karke, 
jeena bhi nahi aaya hamein

mujhe teri zarurat hai

yeh dil hi to janta hai meri sacchi mohabbat ka aalam,
ke mujhe jeene ke liye sanso ki nahi teri zarurat hai..

tere haath ki main wo lakeer ban jaun

tere haath ki main wo lakeer ban jaun,
sirf main hi tera mukadar, 

teri takdeer ban jaun,

main tujhe itna chaho ki,
tu bhool jaye har rishta,
sirf main hi tere har rishte ki tasveer ban jaun,

tu ankhein band kare,
to aaun main hi nazar,
is tarha main tere
har khawab ki tasveer ban jaun...

kyu ye zindagi jeene se darti hai bahut

jaane kyu aajkal tumhari kammi aakhirti hai bahut,
yaadon ke band kamaro me zindagi sisakti hai bahut,

pannah to nahi deta kabhi be-dard ki uss khawaish ko,
mehsus jo tumhein kerne ki koshish kerta hai bahut,

daawe kerti hai zindagi jo har din tujhe bhulaane ki,
kisi ne kisi bahane se yaad tujhe kerta hai bahut,

aahat se bhi chaukk jaaye, 
muskurane se bhi kaatraaye,
maalum nahi kyu ye zindagi jeene se darti hai bahut..

pucha mujhse tannhai ne

pucha mujhse tanhai ne kyu mera saath tujhe itna pyaara hai,
kaha maine ke duniya ki beedh mein mujhe kisi ne apnaya hi nahi,

pucha umeed ne ke kyu rehne nahi dete tum mujhe apne pas,
kaha main ek toote sapne ke baad maine aur koi sapna sajaya hi nahi,

pucha vishwas ne kyu dam tord raha hoon main teri zindagi mein pal pal,
kaha main ke tum to najukk ho, tumehin kisi ne majboot banaya hi nahi,

pucha mayussi ne kyu humesha mera daman pakde baithe rehte ho,
kaha maine kisi ne koi aur tareeka jeena ka mujhe sikhaya hi nahi,

pucha khuda ne kyu ab tera mujh pe vishwas na raha raaj,
kaha maine tumne dukh ka saya meri zindagi se kabhi hataya hi nahi.

bin kahe daastaan ho jaayegi

meri khaamosiyon ko na tum bejubaa samjho,
band hoton se ye har nagamein gungunaayegi,
tum labz tatolte rahna,
ye baat raaz ki kaha jaayengi,

rang badalega jab unke gaalon ka,
mohabbat bhi baya ho hi jaayegi,
ishq aalfaz kaha dhundega,
kayamat jab dillon par aayegi,

ulljhe julfo se hongi fariyaadein,
kasham nazaro se uthayi jaayegi,
dhard rishega dhardkano me jab,
palak ki ooth bhing jaayegi,

chupp ker chehara nihaarega koi,
saadagi me bhi ada ho jaayegi,
pyar dega dillon pe jab dastak,
bin kahe daastaan ho jaayegi.

All Time's Favourite Posts