mujhe tum yaad aaoge

tumhare sath guzara hua har ek lamha, 
mere yaadon mein jab mujh ko satayega, 
mujhe tum yaad aaoge,

kisi bhi shaam ki tannhayion mein,
koi suhana lammha jab aayega,
mujhe tum yaad aaoge,

kabhi hansna kabhi roona, kabhi gusse bhari baatein,
kabhi gumsum bohat, chup chup mullakatein,
agar ayinda saaloun mein, koi mousam kabhi yeh rang dikhayega,
mujhe tum yaad aaoge,

main apne aap mein khush to rehsakta hoon bohat, 
lekein mujhe ek bath ka darr hai,
agar aagey bahot agey khud ko mere nazdik koi layega,
mujhe tum yaad aaoge,

duniya mein aitbaar ke kabil koi nahin, 
mere zindagi ka ab tak haasil hai yehi phir bhi,
zindagi ke kisi kamzor lammhein mein,
kabhi koi agar dil mein samayega,
mujhe tum yaad aaoge,

main tum ko khud se bhi agar 
bhoolne ki jo koshish karunga,
to yeh kabhi ho hi nahin sakta,
tumhara yaad reh reh kar,
mere dil ko kabhi jab,
khoon ke aanshoo rulayega,mujhe tum yaad aaoge,

tumhare saath ke aksar lammhein,
raaton mein mujhko aa utthate hain,
mere neendein churaate hain,
tab mere bechain-niyon ko phir,
saant karne ka beayra jab koi uthayega,mujhe tum yaad aaoge,
ha mujhe tum yaad aaoge.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts