tere khayal se bata aakhir bach ke kahaan jaaun main?

khol do apni aankhein ki har taraf udaasi chhayi hai,
suraj hai bujha hua aur subah umeedein lekar aayi hai.

phool tittli jhugnu badal paani.. baithe hain kabse udaas,
shayad sabne tere hi intezaar mein palkein bichhayi hai.

baras raha hai har taraf bas ek tere hi roop ka paani,
jhumti hai fiza aur yeh hawaaein bhi teri deewaani hai.

tere khayal se bata aakhir bach ke kahaan jaaun main?
jahan bhi gayi nazar bas teri hi surat nazar aayi hai.

mere dil mein teri tamannaon ke siwa kuch bhi nahi,
tu hi to aye jaanejana mera kissa aur meri kahaani hai. 

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts