bhula to sakta tha par bhulaya nahi hai

bhula to sakta tha par bhulaya nahi hai,
ye dil kisi aur se lagaya nahi hain,

dooriyan jismo mein hi mumkin hai dilon mein nahi,
is khayal ko zehan se mitaya nahi hai,

jis dil mein bas gayi thi teri aankhein,
us dil mein kisi aur ka chehara basaya nahi hai,

pata hai mujhe tardap uthti ho tum meri khamoshi se,
isiliye apne dil ko maine rulaya nahi hai,

meri sadaayein tum tak nahi pahuchti shayad,
iss ehsaas se khud ko sataya nahi hai,

gumaan hota hai mere hanste dil se tere aane ka,
isiliye roothe huye apne dil ko manaya nahi hai,

ajnabiyon sa bartav karne lage ho humse,
par jane kyu tu lagti paraya nahi hai,

aaj bhi ummeed hai tere laut aane ki,
tabhi to kafan khud ka mangaya nahi hai.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts