ek rishta aur bhi hai mera

aankh jo num huyi,
dil ki tardap kuch kaam huyi,
kis ko bataye apne dil ki baat,
kis ko dikahaye apne dil ke daag,

koi hota jo apna,
hum bhi zindagi ko jee lete,
usse apni bahaoon mein bhar lete,

koi hota jo apna,
usse apni aankhoon mein bassa lete,
aur dil mein usse chuppa lete,

magar iss matlabi duniya mein,
koi bhi hamara na hua,
apna saya bhi saath chord gaya,

aur kya gila kare apni zindagi se,
chord kar yeh bhi ek din chali jayegi,
haath jo pakardna chaunga,
woh bhi chord kar chali jayegi,

woh bewafa hai to kya,
jab woh tardpaygi,
to chord kar main bhi door chala jaunga,

ek dost aur bhi hai mera,
ek rishta aur bhi hai mera,
gum aur tanhaiyon se....!!

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts