kahun kya us milan ke liye main

kahun kya us milan ke liye main,
jab nazare nazaron se takraayi thi,

jaise duniya kahi ruk si gayi,
jab jhuka ke palke woh muskurayi thi.

kahun kya us milan ke liye main,
jab mere haatho mein haath usne diya tha,

jaise woh ghadiyan kahi tham si gayi thi,
jab ek sundar safar mein usne mera saath diya tha.

kahun kya us milan ke liye main,
jab labbo ne labbo ko chhua tha,

jaise dhadkan kahi ruk si gayi,
jab hazaaro janamo ko maine uske saath jiya tha.

kahun kya us milan ke liye main,
jab do jism ek jaan huye the hum,

jaise raat kahi tham si gayi,
jab pyaar ke saagar mein yun doob gaye the hum.

kahun kya us milan ke liye main,
kahun kya is milan ke liye main...

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts