kabhi hum jaan lete hain kabhi pehchaan lete hain

bahut pehle se un kadmon ki aahat jaan lete hain,
tujhe aye zindagi hum door se pehchaan lete hain,

tabiyat apni ghabraati hai jab sunsaan raaton mein,
hum aise mein teri yaadon ki chaadar taan lete hain,

meri nazrein to aise kaafiron ka jaan-o-imaan hai,
nigahein milte hi jo jaam aur imaan lete hain,

aksar badal kar bhesh milta hai koi kaatil,
kabhi hum jaan lete hain kabhi pehchaan lete hain.

mujhe ab tumse kuch bhi nahi kehna hai

ab iss safar mein mujhe tannha rehna hai,
iss dard aur tannhai ko bas akele hi sehna hai.

khilti rahe sada aye sanam tere honthon pe hassi,
mujhe to bas ab aanshuon ki tarha behna hai.

hasste rehte hain mujh pe sab mere jaan-ne waale,
chal chale ki ab mujhe yahaan nahi rehna hai.

tumhe mubaarak ho baahein apne mehboob ki,
mujhe to ab maut ke aagosh mein hi sona hai.

ho chala ab khatam aye dost.. yeh mera afsaana hai,
issi liye mujhe ab tumse kuch bhi nahi kehna hai. 

har khushi mile tujhe jo hum kabhi pa nahi sakte

sare zamane ko bata nahi sakte,
apni yeh mohabbat chupa nahi sakte,

tujhpe yakeen hai mujhe aye mere humsafar,
apne yakeen pe sabko samjha nahi sakte,

ta umr hum karenge tera hi intezaar,
tujhe kis mord pe aakar mile bata nahi sakte,

hai pyar aaj bhi wahi par tu aaj meri nahi,
hum pyar ki khatir bhi tujhe bula nahi sakte,

ha khush rahe sada jaha bhi tu rahe,
har khushi mile tujhe, jo hum pa nahi sakte,

woh sath rahe tere.. chaha jise tune,
dilse teri yaad hum mitta nahi sakte,

ye khuda ki din bhi ajeeb hai,
ki naam jiska nasib hai,
jise tune chaha usse de diya
jise mane chaha usse de nahi sakte.



kya woh ab mujhse pyar kerti bhi hogi

jiski tasveer hum har waqt dekhte rehte hain,
ek nazzar bhi woh shaks mujhe dekhti na hogi,

yeh labb jo sada unka naam lekar dua mangte hain,
pata nahi ab to mera naam bhi usse yaad nahi hoga,

yeh pagal dil mera usse sadiya deta hai,
ek baar bhi uska dil mujhe pukarta na hoga,

meri aankhein har pal uska rasta dekhti hai,
wo to khawabon mein bhi mera intezaar karti na hogi,

jiske liye mera mann tarasta raha,
shabb-e-tanhai mein meri tarah woh tadapti na hogi,

humne to unko haathon ki lakeeron mein dekha hai,
woh shaks kabhi bhi mujhe aise talaasha karti na hogi,

uska ehsas mujh mein lahoon banke beh raha hai,
mujhe woh khudke aanshuon mein bhi pati na hogi,

humne to apne naam ko unke naam se jorda tha,
mere aur unke rishte ka usse khayal bhi aata na hoga,

jissko humne khawabe-e-zindagi mana tha,
woh to mujhe apna dukh bhi maanti na hogi,

woh meri manzil meri takdeer ban chuki hai,
juda rastoon ko meri tarah woh ek karti na hogi,

woh door rahke bhi mere itne kareeb hai,
ussne to kabhi mujhe mehsoos bhi kiya na hoga,

hey raaj tumne to uski chah mein khud ke wajood ko rang diya hai,
tumne kabhi socha hai woh shaks tumse pyaar karti bhi hogi?

dard aur tanhaiyo se bhari hai zindagani meri

mere ghar ki deewaro mein chupi hai kahani meri,
aanshoo kahi dard aur tanhaiyo se bhari hai zindagani meri

kya kya naa gujra saath mere yeh humse kya poochte ho,
woh raat woh chaand bhi de raha hai gawahi meri,

roya tha main saath mere mera bistar bhi roya tha,
aasmaan se barsa tha paani, huyi thi jaghasai meri,

kab ka dafna chuka us dil ko jo kabhi dhardakta tha,
lekin ghar ki dar-o-diwar mein nazar aa jati nishani meri,

har patthar ka tukda khuda nahi hota ye jante the hum
phir bhi humne usko khuda mana ishse jhalakti hai nadani meri,

mere ghar ki deewaro mein chupi hai kahani meri,
aanshoo kahi dard aur tanhaiyo se bhari hai zindagani meri

jaha tak ho sake sath chalte raho

aye dost.. hum jante hain ki..
tum sada sath na chaloge,
lekin ek guzarish hai,
jaha tak ho sake sath chalte raho.
aye dost.. hum jante hain ki..
tum kabhi sahara na de sakoge,
lekin ek tamana hai,
jaha tak ho sake sahara bane raho.
aye dost.. hum jante hain ki..
tum humein na jaan sakoge,
lekin ek aarzo hai,
jaha tak ho sake humein jante raho.
aye dost.. hum jante hain ki..
tum humein yaad na rakh sakoge,
lekin ek dua hai,
jab tak zinda raho, humein yaad kerte raho.

tum bhool jaao mujhe yeh tumhari marzi

mat kar yeh waade, yeh irade mujhse,
tere jaane ke baad yeh baatein pareshan karengi.

jeena to mera mushkil hoga,
marna bhi mera dushwaar karengi.

tum bhool jaao mujhe tumhari marzi,
meri to raaton ki needein bhi yeh haram karengi.

din to daffter ki dahleez mein guzar jaayenge,
phir chandni raatein chubhan humein saari-raat karengi.

teri yaadon ka hi toffa samajh, chupa rakha hai dil mein,
yehi to sanam mere marne ka intezaam karengi.

tere shehar jo milne naa ja paaye shayed,
yeh majburiyan hi meri mohabbat ko badnaam karengi.

yeh intezaar ki ghadiyan

kuch iss kadar unse humne pyar kiya hai,
palkein bicha ke iss dil ne unse izhaar kiya hai,

rahon mein unki humne hansi mulakaton ke moti bichaye hain,
khud ko jala ker bhi unhein dhoop se bachaya hai,

bahon mein bhara hai apni, unhone jab bhi thokar khayi hai,
kandho pe sambhala hai, jab bhi unki zindagi mein amavas ki shaam aayi hai,

ab bhi na aaye woh to khuda yeh teri aajmaish hogi,
mere mann mein basne ke liye base pyar ki numaish hogi,

nahi de sakta ab main pyar ka imtihaan isse zyada,
yeh intezaar ki ghadiyan kya mere maut ke baad hi poori hongi??

mujhe mere dard ka hisab chahiye

mujhe mere dard ka hisab chahiye,
agar kiye hain gunah maine to
mujhe un gunahon ki kitab chahiye

na jee sakunga itne dard sehne ke baad,
mujhe kisi kandhe ka sahara chahiye,

roz hi marta hoon roz hi sehta hoon zakham,
mujhe un zakhmo ke liye pyar ka malham chahiye,

aankhein thak chuki hain meri rote rote raato mein,
meri in aakhon ko aab thoda sukun chahiye,
thoda sukun chahiye...


apne iss dil ke jazbaat dikhaoon kaise

zakhm hi zakhm hai iss dil mein.. dikhaoon kaise,
bahot pyaar karta hoon.. tujhe bataoon kaise?

nahi rehna chahate tum sath mere,
par tumhein chord kar main jaaoon kaise?

duniya ko kadar nahi thi.. tumhe bhi nahi hai,
apne iss dil ke jazbaat dikhaoon kaise?

mere dil ke tutne se farak nahi padega,
chalak aaye gar aanshon to chupaoon kaise?

bewafaon ki basti se wafa dhondne nikla tha

kabhi sawaal dil mein le kar jawaab dhondne nikla tha,
main bewafaon ki basti se wafa dhondne nikla tha,

kya ajab silsala tha unki muskurahton ka,
main un muskurahaton par jaan dene nikla tha,

kya andaaz tha us ki mehkti hoyi chahaton ka,
jin chahatoon par main sab kuch kurbaan karne nikla tha,

jab thokar lagi to ye khayal aaya ki,
main apni hi zindagi bar'baad karne nikla tha...

kabhi aapko bhi humse pyaar tha

kabhi aapko bhi humse pyaar tha huzoor,
phir kyun ho gaye aaj itne maghrur,
ho gayi humse sanam aisi kya bhool,
ke dil lautake hamara chale itni door.

koi humse pooch kar to dekhe

na de paayi khushiya, to kya gam hai,
jee bhar ke mila dard, wo kya kam hai,
meri wafa ke badle chahe de dena mujhe pyar ki parchhai,
par aye khuda, na dena mujhe ashkon me bhigi tanhaayi…

barda keemti hai ye aankhon ka paani,
isse khuda ne sirf dukho ke liye chunaa hai,
isse yuhi kisi ki yaad me jaaya nahi karte,
ye sab humne logon ko kehte suna hai....

koi humse pooch kar to dekhe,
ki ashkon ke kitne saagar humne bahaaye hain,
saari umar inhi ko peeya hai,
aur inhi se to hum nahaye hain....

un andhero me jab na koi kareeb tha mere,
issi tanhaayi ne to nibhaya tha mere saath,
par kya ek pal ko bhi toone socha aye khuda,
teri ussi tanhaayi ki wajah se hi,
nahi thama tha kisi ne mera haath...

rone ko to ro lunga mein jaar-jaar,
tapkenge ye aanshu ek nahi hazaron baar,
par uss tanhaayi me bhi nibhane wala koi saath to ho,
tannha hi sahi, par dil ki koi baat to ho....

ab to ghut raha hai dum mera iss tanhaayi me,
aur dikh raha hai chehra uska, apni hi parchhai me,
ab aur kitna andhere baaki hai iss tanhaayi me,
iss seene me jal raha hai ek dil yaadon ki gehraayi me...

ek muddat se nahi dekha usse,
ab to intehan ho gayi hai intezaar ki,
aur sookh rahi hai ye aankhein ummid me uske deedar ki,
baat na sahi, par uska ek message to dila de,
ek pal ko hi sahi, par uss sakhas se to mila de....

kya bas yehi meri bhool thi

dillo ki daastan unhein kahan kabool thi,
meri waffayein unke liye fizool thi,
koi aas nahi lekin itna to bata do,
maine chaha aapko,
kya bas yehi meri bhool thi....??

tere liye sara jahan chord jaeyenge

aankhon me tere kuch arman chord jaenge,
zindagi me teri kuch nishan chord jaenge,
le jaenge bus ek kafan teri dunya se,
tere liye sara jahan chord jaeyenge.....

teri yaadon ko jab tak sochta raha

teri yaadon ko jab tak sochta raha,
tere aaksh ko tab tak khojta raha,
pehale bhi to tannha hi jee raha tha,
par tere jaane pe kyu tujhe kossta raha,

aaksar zindagi me aisa hota hi raha hai,
to tere ruthne pe kyu mann masoshta raha,
waqt ki zanjeer to hoti hai jakkadne ko,
to kyu har baar kaddiyon ko tordta raha,

jitna paas aaya tere, tu door jaati rahi,
phir bhi teri aur kyu aakhir main daurdta raha,
tere milne ki koi bhi umeed na bacchi thi,
phirbhi jaane kyu har dar tujhe main khojta raha,

yaad tha.... 
zakhamon pe mere aaksar marham lagati thi,
to tere aane ki aarzoo me, 
zakhamon ko main aaksar kurredata raha...

mohabbat bhi sharminda hai

mera haal dekh kar aaj kal,
mohabbat bhi sharminda hai,
ki ye shakhs jo sab kuch haar gaya,
kaise wo aaj bhi zinda hai...

wo hamare zindaagi se khel rahe hain

hame lagta hai wo hamari zindaagi se khel rahe hain,
hame lagta hai wo hamara aman-chain sab loot rahe hain,

hamne unse mohabbat ki thi zindaagi ko sakoon dilane ke liye,
hame lagta hain wo hamare jalte ghaawo ko aur aag de rahe hain,

dard dil mein chhupaye anshuo se apni chaader bhigoye,
raat raat bhar gum se karaahte baichainiyo ke kaante samet rahe hain,

hame lagta hain wo hamare dil se khel rahe hain,
hamari sachi mohabbat ko unhone khilona bana diya,

jab bhi jee chaha hamse muh mord liya,
kabi na samjha hamare chehare pe faili udaasi ko,

kabhi naa samjha hamare judaai mein doobe aankho ko,
din-rat dardapte rahe khamosh mohobbat nibhaate rahe,

kabhi naa samjha unhone hamare har pal swaaha hote armaano ko,
ab hame lagta hai wo hamare zindaagi se khel rahe hain,
hame lagta hain ab ham iss gam me doob rahe hain


chahat mein aise ruswa huye hain hum

chahat mein aise ruswa huye hain hum,
unki zindagi ka sikwa huye hain hum,

mana yeh ehsaas kuch ajeeb hai,
unke darde dil ki dawa huye hain hum,

jo dor dilon ko bandhe huye thi
us dor-e-umeed ki dua huye hain hum,

us bewafa mehboob ki khatir,
sabhi rashmon mein kasme wafa huye hain hum,

wafa ki sab rashmein kasmein waade tord kar,
aaj apni nigaah mein zinda huye hain hum.


yeh intezaar na jeene deta na marne deta hai

kaise kahun ke kitna tera intezaar kiya,
kaise kahun ke kitna tujhe pyaar kiya,

yun to kehne ko main zindagi jee raha hoon,
dil tardpt raha, sirf saansein le raha hoon,

bas khwabon ke sehah jee raha hoon,
dard hai jitna dil mein, sab aaskhon se pee raha hoon,

kash tujhe bhi ehsaas ho intazar kitna dard deta hai,
yeh intezaar hai intezaar
na jeene deta na marne deta hai…

bichhda hua woh yaar dhoondhta hoon

kayi saal pehle chord gaya tha mujhe koi inhe tannha raahon pe,
mit chukki ek ummid liye bebas aankho me karaar dhoondhta hoon,

har taraf muskurate hain chehare aur khushiyan bikhari si hain,
beraham si kismat liye main bahaar dhoondhta hoon,

kaise maan lu ki iss kadar chhin jaayegi mujhse meri zindagi ek din,
teri tasveer ko seene se lagaye teri aankho me wahi ikraar dhoondhta hoon,

jo mere maathe pe sikkan dekhte hi mujhe seene me chhupa leti thi,
aaj aanshu bhari aankhe liye bichhda hua woh yaar dhoondhta hoon,

ab bhi jaata hoon unn kinaro pe jahan fizaon me teri khushbu bassi hai,
un masoom si hawao me teri aahat main kayi baar dhoondhta hoon,

saath waqt ke rishton se bahut door jaa chukka hoon main,
matlab ki iss duniya me ek khoya hua sansaar dhoondhta hoon,

ab kahan ehsaas hota hai in saanso ke chalne ka mujhe,
ek zinda laash hoon main, 
ab to bas apni sone ke liye samshaan dhoondhta hoon,

to kya hua jo seham jaata hai ye dil pyar ke naam se hi ab,
dil hi me jo kho gayi hai, 
un yaadon me aaj bhi pyar dhoondhta hoon,
main bas tumhein dhundata hoon.......

All Time's Favourite Posts