bhula ke duniya sari bas ek dujje mein hum kho jaaye

yeh gusharish hai meri sanam, ke humtum ek ho jaaye,
bhula ke duniya sari, bas ek dujje mein hum kho jaaye,

kare hum dono ek dusre ko be-intehaah pyaar aur,
iss sardi ki raat mein, ek chadar mein soo jaaye,

tumhare bina ab iss dil-o-jaan ko chain nahi,
kyu na kar hum ek dusre mein kho kar zannat ko paye?

bin unke zindagi dard hai, tannhai hai

bin unke zindagi dard hai, tannhai hai,
meri aankhon mein kyun maut simat aayi hai.

kehte hain log ishq ko ibaadat yaaro,
ibaadat mein phir kyun ruswayi hai.

woh na aaye dil ko lubhane mere,
par shaam hote hi unki yaad chali aayi hai.

mehfil mein reh kar bhi tannha rehna,
yeh adaa unki mohabbat ne sikhlaayi hai.

yeh bhi unki mohabbat ki inaayat hai yaaro,
main tamasha hoon aur duniya tamaashaayi hai.

intezaar mein kisi ki na raat ko barbaad karna,
doobte taaron ne mujhe yeh baat samjhaayi hai.

unse mera rishta kuch aisa raha hai yaaro,
jab bhi socha unhein aankh bhar aayi hai.!

kehne ko to saansein zinda hai

dil ki deewarein kaanch ki tarah toot gayi,
phir bhi woh dhundla sa,
har tukde par uska naam dikhta hai,

kehti hai woh ki yaad aati hai aapki bahut,
phir kyu nahi kabhi koi paigaam likhta hai,

kehne ko to saansein zinda hai,
phir kyu maut sa ehsaas aa dhardkan mein tikta hai.

due to sorrows I am bound to stop

in such little age, such things I have seen,
that people of my age, just can’t imagine.

I always wanted to be, that elite groups member.
whom after the death also, people will always remember.

so I started doing everything, that I could under the sun.
and thus became jack of all trades, but master of none.

everywhere I go people expect me always to make fun.
but my friends this you should accept, that I am not the sun.

sun can give light without disruption non-stop,
but alas! dear due to sorrows I am bound to stop.

I m not as bad, as I do pretend.
but I am much more sad, than that what I send.

many people in my life, I had trusted.
but afterwards I was very sorry, since they were all rusted.

at last I would only say that,
that I just don’t lie,

when I say they go in life very high,
who come out of the words.. me and I.


har dum mujhe kyu woh hi yaad aata hai

kabhi akele mein baithkar yeh khayal aata hai,
ki har dum mujhe kyu woh hi yaad aata hai,

jisne zakhm itne diye,
jisne sabhi vaade tordd diye,
kya use bhi kabhi tanhai mein koi gam satata hai?

umra bhar ka sath nibhane ka kehte the jo,
woh chand lamhon ka bhi sath na nibha paaye,
kya itna kamjor pyar hota hai,
kya kabhi usse apne kiye bhi afsos hota hai?

unhone apna daaman phoolon se saja liya,.
humara nata kaaton se jordd diya,
aashma pe bihtakar, pal bhar mein gira diya,
kya yahi usne mujhe meri wafao ka sila diya?

palat ke bhi na dekha ki hum mar gaye ya jee rahe,
kya yahi sab achhai ke naseeb mein aata hai,

uski yaad mein maine kitne aashu bahaye,
kya woh bhi kabhi hum pe zulm karke rote hain?

hai iss duniya mein khuda kahi,
to kya yahi uske darbaar mein nyaay hota hai,
ki har ek begunaah ghamon mein rota hai aur
kasuwar sone ki sej par sota hai?

hum to usmein bhi khush hai,
na kabhi shikwa ki na shikayat ki,
har zakhm hans kar seh gaye,
apne aashuon ko khud hi pi gaye,

par e-khuda itna reham zarur karna,
yeh hasin zulm kisi aur pe na karna,
na karna… na karna!!

dukh to iss baat ka hai

dukh iss baat ka nahi hai ki tera pyar jhootha tha,
dukh to iss baat ka hai ki pyar tune kyon kiya?

dukh iss baat ka nahi ki dil mera tuta tha,
dukh to iss baat ka hai ki dil mera kyon liya?

dukh iss baat ka nahi humara saath chota tha,
dukh to iss baat ka hai ki...
khuda ne dilo mein pyar paida karke hi aisa kyon kiya?

hum ne bahot der unka intezaar kiya

woh mera dil meri jaan sab kuch thi,
par us se yeh kehna bohat mushkil tha,

yun to woh bhi humse mohabbat karti thi,
magar kehne se na jaane kyon darti thi,

hum ne bahot der unka intezaar kiya,
na jaane kyon na us ne izhaar kiya,

uske bin jeena muskil hoga, dil ne mujhe batya tha,
par uski ek muskurahat ne mujhe jeena sikha diya,

woh meri hai maine dil ko baar baar samjhaya,
lekin mera ek anshu bhi usse rok na paaya,

mere dil ne usse baar baar pukara,
magar us tak awaz na pohanch payi,
maine usse ek baar jo dekha
to nazrein jhuka na paya,

woh pakeeza dil woh gehri aankhein,
main khud ko samjhaa hee na payee
aur un aankhon mein jo chamak thi,
woh kisi aur mein na nazar aayi. 

yeh haseen nagma aaj tu mujhe gungunane de

yeh hassin nagma aaj tu mujhe gungunane de,
pyaar mein jeene de mujhe iss mein hi mar jaane de,

sadiyo se zindagi guzari hai tannhaiyo mein,
ek anjaan se saaye mein ghum ki parchaiyo mein,
dil dukhaya hai bahut mausam ki angdaiyo mein,


aaj to tu mujhe iss barish mein bheeg jaane de,
yeh haseen nagma aaj tu mujhe gungunane de.


jab-jab chalti thi purwaai humein barda jalati thi,
ghumard-ghumard kar kaali ghataye bahut darati thi,

tu mere pass nahi iss ki mujhe yaad dilati thi,

tere hone ke ehsaas ko hakikat mein badal jaane de,
yeh hasin nagma aaj tu mujhe gungunane de.

muddato baad aaj hum phir mile hain tumse,
aarzu yehi hai ki yuhi lipte rahein tumse,

rehna dil mein mere yahi guzarish hai tumse,
unki mehfil mein kuch pal aur raaj ko beetane de,
yeh haseen nagma aaj tu mujhe gungunane de.

kuch pal hi sahi.. aazad hawa mein jee lene do

tinka bhar hi hai zindagi, tum mujhe jee lene do,
jaane kab sath chord de, hass ke ghum pee lene do,

bahut bekraari hai ab to iss tann mein sanam,
mar ker bhi amar hone ka sukh to jee lene do,

jo chhup kar baitha hoon dil mein tumhare,
dil se baatein kerne ka bheram mujhe pee lene do,

na jaane kab kat jaaye dor urdati patang ki,
kuch pal hi sahi.. aazad hawa mein jee lene do,

jeevan par chhaya hai jo akant ka darpan,
arpan kar du yeh janam, yehi keram jee lene do.

kahu ek baat tumse ya tum samajh logi

kahu ek baat tumse ya tum samajh logi,
meri aankho mein dekho shaayd meri need pakard logi,

khat jo maine dil mein likhe par bheje nahi tujh ko,
bin dekhe kya tum usse pardh logi?

tardpa hoon tumhari yaad mein ab-tak bahut,
meri rooh dekh ke meri dhardkan samajh logi?

mohabbat ke mandir mein tumhein basaya hoon,
aake mere paas apani hi aarti ker logi?

khud se jada jisse manata hoon main,
mere chehare mein apani hi chhavi parkad logi?


jo soojhi na koi baat to hum toot ke roye

choota jo tera haath to hum toot ke roye,
tum jo na rahe saath to hum toot ke roye,

chahat ki tamanna thi aur zakhm diye tum ne,
paayi jo yeh saughaat to hum toot ke roye,

khabar na thi door tak, na koi khoj teri,
dekhe jo yeh halaat to hum toot ke roye,

anjaan the hum ab tak dard ki surat se,
huyi jo mulakaat to hum toot ke roye,

logon se bahut poocha sabak veerani ka,
jo soojhi na koi baat to hum toot ke roye,

thi dhoop bahut tez har samay judaayi ki,
barsi jo na barsaat to hum toot ke roye,

din bhar to rahe chup ke duniya ki nazron se,
bheenga jo saari raat to hum toot ke roye,

samjha tha monika tujhko apna hi ek hissa,
tukdon mein batti tune jaat to hum toot ke roye,

hum karte rahe kyun uss chaand ki khawhish,
yaad aayi jo aukaat to hum toot ke roye.

sirf tumhara naam aata hai monika

dard dil ka bardh jata hai mera,
jab-jab tera khayaal aata hai.

gum-sum sa ho jata hoon tab,
dil ki har aah mein,
sirf tumhara naam aata hai.

bhari mehfil mein tannhai ka ehsaas dila jaata hai koi

kyu armaanon bhara dil tord jaata hai koi,
kyu pyar ke kaanton bhare rah mein
do kadam saath chal kar peeche murd jaata hai koi?

kyu khawb dikha kar hakikat mein kho jaata hai koi?
kyu deewangi dekkar begaana bana jaata hai koi?
kyu haath thaam kar chupke se churda jaata hai koi?

kyu beech samandar kashti dubba jaata hai koi?
kyu ek pal ki muskaan dekar baar baar rula jaata hai koi?

iske baawjud bhi kyu haar sans se pehle,
yaad itna aata hai koi??

chori se dil ko dhardkata hai koi,
jitna door jaane ki koshish kare utna hi paas aata hai koi,
aye rab aaj yeh karde.. ya usse humara ya humein uska karde.

kyuki baar baar bhari mehfil mein,
tannhai ka ehsaas dila jaata hai koi.

tu de awaaz to main aaon wahan tu hai jahan

na jaane tu hai kahan,
main hoon jahan tu nahi wahan,
kho gaya tu na jaane kahan,
de awaz to main dhundhu tujhe wahan.

tujhe dekhne ko tarasti hain yeh nigahein,
tere dil ke sath dhadkane ko tardapti hai meri dhadkanein,
tu de awaz to main aaon wahan tu hai jahan.

tere sath chalne ko main bekarar hoon wahan,
jahan khayee thi kasamein sath jeene ki,
tere sath baatein karne ko mera mann chah baar baar kare,
jo reh gayi adhuri wo karni hai baatein puri,
tu de awaaz to main aaon wahan tu hai jahan.

kar do maaf jo ki maine khataaein,
yaad to kar lo meri wafaaein,
tu hai meri manjil, tu hai mera sahil,
tu de awaaz tou main aaon wahan tu hai jahan.

o mehkti hawaon, sunhari fizaon,
de khabar mere yaar ki,
suna meri fariyaad usse,
kaho usse bula le mujhko.

All Time's Favourite Posts