kyun humein itna sataya aapne

ek pyase ko kyun saagar dikhaya aapne,
mar rahe the hum kyun jeena sikhaya aapne,

kaise tumse keh de kya kuch kiya hai aapne,
hum to sazde mein the kyun kaafir banaya aapne,

aap hi ke khayalon mein guzarte hain raat or din,
khud ko bhulaye baithe hain kyun apna banaya aapne,

ab to shaayad umar bhar dag-magayenge kadam,
madbhari nazron se kyun hum ko pilaya aapne,

intezaar mein tumhare ashq peete rehte hain hum,
kya khata thi meri kyun itna rulaya aapne,

har ghardi bas aap ki yaad mein tardapta hai dil,
tum hi bolo kyun humein itna sataya aapne??

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts