kehlata hai aadami

aakshar roota aur chhillata hai aadmi,
apne kiye pe pachtata hai aadmi,
soche mutabik kaam nahi hota jab to,
apne aap par hi jhallata hai aadami,

aadamiyon se kaam kar leta hai aadmi,
tab jaaker aadami kehlata hai aadami,
mohabbat me pehle pa le khus hoke phir,
zakhamon ko khud hi sahlata hai aadami,

puraani yaadon se nijaad pane ke liye,
kaise kaise khud ko behlata hai aadami,
ishque ki aag jala kar bhadka ker,
khud tardape dujo ko bhi tardapata hai aadami,

aur to usse kuch nazar na aaye jab,
pyar me kisi ke pagalata hai aadami,
pyar me kisi ke pagalata hai aadami..

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts