kabhi mujhko magar bhulana nahi

wo main sochta hoon ki tu meri hai,
par mere as pas andhera tha andhera hai,
mere haathon ki lakiren khali hain,
aur tujhe us ki bahon ne ghera hai,

par main aaj sar jhukane aaya hoon,
yahi bass tujhko batane aya hoon,
tujh ko apne in anshuon mein,
shiv ki tarah nahlane aaya hoon.

tune jo bhi diya hai mujhe usse,
kabhi bhula nahi payunga,
main mere hisse ka yeh pyaar,
tere liye hamesha nibhayunga.

mera dil rakhne ko tune mujhe
baar baar hansaya tha,
tune mere ujda huya
dil ke shahar phir basaaya tha,

tu shayed usse hi chahti thi hamesha,
par yeh baat mujhe kabhi bata nahi saki,
jiss dil mein rahne lagi thi tu
woh dil mera tune hamesa dukha hai.

ab darr lagta hai to un chahane walon se,
jo tere as pas hain har din kinara badalte hain,
tu jis ke saath khadi hai aaj mere humdam,
woh har din sahara badalte hain.

jiss udasi se guzra hoon main,
tu un anshuon mein na aaye,
tu meri tarah har dard sah nahi pati,
kabhi koyi tera dil na dukhaye.

awaaz na dena mujh ko kabhi beshak,
kabhi mujhko magar bhulana nahi,
main mere aanshu khud ro lunga,
tu mujh ko kabhi rulana nahi.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts