aur kya likhun

zindagi ki hakikat likhun ya likhun ulajhte khwab,
pariyon ki kahaniyan likhun ya likhun mohabbat ke alfaaj,

bachpan ki shaitaniyan likhun ya likhun dard se bhare aagajh,
phoolon ki khusbu likhun ya likhun tanhaayi se bhari meri yaad,

sang bitaaye lamhein likhun ya likhun kaise gujarti tanhaa raat,
uske chehare ki hassi likhun ya likhun dard se bhari daastan,

patjhard me baahar likhun ya likhun aankho se jhalakte jam,
usski balkhati aada likhun ya likhun mere badalte haalaat,

mere madhooshi ke aalam likhun ya likhun ladkhadate andaaz,
uski khubsurati likhu ya likhun rang badalte uske mijaaz,

meri wafaon ki daasta likhun ya likhun tute dil ke farmaan,
aur kitna kya likhun ya likhun sang jeene ke aarmaan...

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts