dil ko patthar ka bana liya

chehara uss ka phoolo se bhi komal,
dil ko patthar ka bana liya,

main khada reh gaya baahein faylaaye,
tunne gairon ko galle laga liya,

ummr guzaar di maine tumhare intzaar me,
tunne mujhe bitte pal ki tarah bhula diya,

jiss ki ek muskurahat pe main mar mitta tha,
ussi ne mujhe har dam rula diya,

tord kar mere sapno ka taj mehal,
ussme mera kabar bana diya,

pyar kai badale, dhokhe ka khanjjar chubo kar,
tumne mujhe jeete jee maar diya,

ummar bhar sath chalne ka wadda tha,
do kadam pe hi daman churda liya,

khusion se bhara rahe usska daman,
main ne to gam ko hi apna humsafar bana liya..!!

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts