kaate na tannha safer aa bhi jaa

bardi pyasi hai nazar aa bhi ja
soona soona sa hai ghar aa bhi jaa.

raat beete na din gujarte hain,
shaam ka waqt hai ghar aa bhi jaa.

tannha tannha hoon bahut tere bin,
ab nahi hoti guzer aa bhi jaa.

apni bahon ka sahara de mujhe
kaate na tannha safer aa bhi jaa.

bheegi palkein hain kapkapate honth,
apni aagosh mein bharne aa bhi jaa.

kaun ta-umar rokta hai tujhe
tu chali jana magar ek bari aaa bhi jaa. 

kyu rulaate ho mujhe

kyu rulaate ho mujhe?
kyu bhool jaate ho mujhe?

tere he sahaare to jee raha hoon main..
to phir kyu akela chodh jaate ho mujhe?

har baat ko chupana ataa hai tumko, 

roothon ko manana ataa hai tumko,

roothe ho tum na jaane kis baat par mujh se…
to phir wo baat kyu nahi bataate ho mujhe?

jaan jaati hai meri, jab yaad aati ho,
tum to mujhe bhula dete ho… 
to phir kyu yaad aate ho mujhe?

hum jeene ke bahaane marte rahenge, 
pyaar hum tumse hamesa karte rahenge,
pyaar to tum bhi karti thi na..?
to phir kyu sataati ho mujhe?

ya keh do zeher peene ko, 
ya kaho phir mujhe jeene ko.,
agar mere saath me nahi chalna tha tumko,
to phir kyu raasta zindagi ka dikhaya mujhe?

beech raaste me kyu is tarah akela chordh diya?
kaho.. kuch tho kaho.. kyu akela chordh diya….

dardon se kuch is kadar chhalni ho gaya hai raaj

kurred ke mere zakhmon ko usse kya mila hoga,
lahoo ke har katre mein apna aks dikha hoga,

mohabbat ka isse haseen kya koi namuna hoga,
ki meri ibadat-e-ishq se darta khud khuda hoga,

ek aah to usne bhi bhari hogi us lamhe mein jaroor,
jab dard-e-dil mera saari haddon se guzra hoga,

jise humne dhunda kiya har tukde mein kabhi,
kya tha maloom ki woh is dil mein chipa hoga,

aashiq parvaane kud pardte hain kisi shamma mein,
sochte bhi nahi ki haal unka ab phir kya hoga,

lakh palkein jhukaaye woh bahanon se par dekhna,
uski aankhon se ab bhi mera aks na mita hoga,

dardon se kuch is kadar chhalni ho gaya hai raaj,
jo saamne khada karo to sharmsaar aainaa hoga,

mehfil mein aksar log mujhse pucha kerte hain,
ki tu aashiqi mein zakhmi aur kitna hoga

ek-duje ke bina zindagi adhoori hoti hai

khawaishein kahaan kisi ki puri hoti hai,
sapno ki hakikat to bahot buri hoti hai,

jitni bhi karlo aarzoo humdum ko paane ki,
darmiyaan utni hi doori hoti hai,

bichard jaate hain sathi safar-e-zindagi mein,
mil na paana to unki majboori hoti hai,

milkar bhi bichad jaate hain,
kuch aise badnaseeb bhi hote hain,
judaai ke aalam mein,
phir milan ki umeed har dil me hoti hai,

mehkta hai unka pyaar ek-duje ke sahare,
muskurahat honthon pe zaroori hoti hai,

chehre pe jhooti muskurahat zaroor sajaa ke rakhte hain,
na jaane kaunse mord pe ek aur gam se mulakaat honi hai,

soch nahi sakte zindagi ko sathi ke bina,
bichardana to dono ki kamzoori hoti hain.. ,

wajood hi nahi hai ek doosre bina koi,
judaai ki ghatiya chaal, wakt ne chali hoti hai,

phir bhi chalte rehte hain bina kuch soche,
ek-duje ke bina zindagi adhoori hoti hai,

milan hoga jis din chaahat ka apni chaahat se,
us din dekhna duniya ko jalan kitni hoti hai.

kyon aanshu beh gaye aaj bina teri yaad aaye

kyon aanshu beh gaye aaj bina teri yaad aaye,
kyon bewajah itni shiddat se hum roye,
bardi der tanhai mein baithe rahe,
shayad rone ka sabab yaad aa jaye.

sawaal kiya, aye dil bata...
bina uski yaad aaye, aaj kiyon aanshu beh gaye?

dil ki gehrahiyon se ek awaaz aayi,
yeh aanshu tere nahin,
tere yaar ke hain,
tere pyaar ke hain,
jisse na jaane kiyon aaj tum,
bahaut bahaut yaad aaye.

sach to yeh hai k tu kuch bhi na thi

jab tak tune thukraya na tha,
mohabbat bheekh hai socha na tha,

tere pehlu mein nazar aayi kaynaat mujhe,
duniya ko theek se dekha na tha,

saath jab tune chorda to bada mayoos tha magar,
zindagi aage bhi hai socha na tha.

jane kyun tujhe apni zindagi samajh baithe,
sach to yeh hai k tu kuch bhi na thi,

meri nakami ki wajah yehi rahi shayad,
hosla tha magar jazba na tha.

tere chehre pe shikan dekh kar ab yaad aaya,
meri aankhon pe ab chashma na tha.

yeh bhi acha hua ki dil tut gaya mera,
zindagi ka koi hadsa-e-sabak na tha.

yeh main janta hoon ya khuda janta hai

kitne ajeeb rishtein hain yahan ke,
do pal milte hain, sath-sath chalte hain,
jab mord aaye to bach ke nikalte hain,

mere dil ki baatein.. 
main janta hoon ya khuda janta hai

tum meri zindagi mein aaye aise
jaise sawan ki barsaat,
tum meri zindagi se gaye jaise
guzri ho kaali raat,
haalat meri kuch aisi huyi, 
jo koi nahi janta hai, 

mere dil ki baatein..
main janta hoon ya khuda janta hai.

aaye the meri zindagi mein,
to bahar aa gayi thi,
gaye to zindagi reh gayi
patzar bankar,
sukha zindagi ka patta,
koi mali nahi janta hai,
mere dil ki baatein..
main janta hoon ya khuda janta hai.

mere hoton par muskan di pehle to tumne,
phir pyaar bhari in aankhon mein aanshun bhar diye,
royein hum kuch iss kadar koi sahara nahi janta hai,
mere dil ki baatein..
main janta hoon ya khuda janta hai.

All Time's Favourite Posts