kuch paane ki aas mein kaanto par bhi the hum chale

kuch manzilein thi apni, kuch khwaab bhi the bune,
kuch chahate bhi thi apni, kuch raaste bhi the chune,

pathrile raasto par mere kadam, kabhi kabhi the dagmagaaye bhi,
kuch paane ki aas mein lekin, kaanto par bhi the hum chale,

nahi hoti koi dagar aasan, kuch logo ne tha yeh samjhaya bhi,
par bhuj na paaye umeedo ke diye, jo mere mann mein the jale,

jaan rahe hain aaj sab mujhko, pehchaan rahe hai aaj sab mujhko,
kuch kar dikhane ke liye, hum har mushkilon se the lardein,

sab kuch dekha hai maine bhi, wafaa, prem aur judaai bhi,
kuch ghaav aaj bhi hai taaze,  jo apno ne humein the diye,

zindagi safar nahi hai aasaan, jab yeh samajh mein aaya,
tay karne har mushkil safar ko, hum akele chal the diye,

aaj mumkin hai manzil tak pahunch kar, mera har koi saath nibha jaaye,
par bhoola nahi hoon mein ab tak,  jo akele safar maine tay the kiye. 

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts