kya khoya kya paaya ab tak, bhulane do hisaab mujhe,
bahot hua ashkon ko peena, peene do sharab mujhe,
phir yaad teri ne gheraya, phir dard utha hai seene mein,
hosh abhi tak baaki hai, aur do sharab mujhe,
hosh rahe to main bhi, baatein jhoothi si kahta hoon,
main dhoott nashe mein kaha gaya, jo baatein lagi kharab tujhe,
nasha ishq ka, talab husn ki, aur naya shikaar koi,
kyun kisi ke dil se khele, kya darr nahi khuda se tujhe.
jee bhar ke pee hai aur hosh mein aaya hai “bekarar”
jhuth lage jo kahte ho, yeh karti hai barbaad mujhe.

No comments:
Post a Comment