apni zindagi ko bas yun hi guzarte huye dekhta hoon

kabhi chardte to kabhi dhalte huye suraj ko dekhta hoon,
main apni zindagi ko bas yun hi guzarte huye dekhta hoon,

waqt ke haathon ho chala ek majboor shakhsh hoon main aaj,
har roz yun hi apni tamannann ko marte huye dekhta hoon.

dard aur gum ke milne par koi bhi ranz nahi hai mujhe,
bas ek inhein hi to apne bure waqt mein saath dekhta hoon,

har woh cheez jo mujhe lagi kabhi pyaari woh door ho gayi,
ab jo bhi lagta hai pyaara bas usse door se hi dekhta hoon.

aaj har mord pe khud ko tannha tannha sa mehsoos karta hoon,
iss duniya mein har rishtey ko rang badalte huye dekhta hoon. 

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts