zinda hoon magar zindagi hai kya pata nahi

seene mein aaj kal mere yeh kaisi jalan hai,
yeh dard hai kaisa bata, yeh kaisi chubhan hai.

arman na koi hasrat, na aarjoo koi,
khali sa dil hua hai veeran sa mann hai.

kya gumm hua hai, jane kya dhondta hai dil,
anjani si talash koi dastan-aye-chaman hai.

duniya se nahi, waqt se hai mujhko shikayat,
jahan shiddatein thi kal tak, wahin aaj agan hai.

zinda hoon magar, zindagi hai kya pata nahi,
jeene ki aarju bhi seene main dafan hai.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts