eh shehar hai veeraan, chalo ab chalein tannha

suna tha ishq mein haal-e-dil bigad jaate hain,
lo yeh chale hum... dua karna bachaane ke liye.

woh paas bhi aayi to pal-do-pal mere,
waqt tang tha.. kuch unko sunaane ke liye.

mumkin tha mera khaali haath hi rahna,
unki har adda hai baaki.. zamaane ke liye.

ek gham mein humne khud ko jala kar dekha,
kaun aata hai.. meri aag bujhaane ke liye.

toofaan mein ek, bikhar gaya ashiyaan apna,
koi aata nahi.. ghar mera banaane ke liye.

khushi ke aanshoo bhi gham ki aankho se nikle,
dard jaada hai bohat.. dil se bahaane ke liye.

ek umr se, bhari nigaahon se hum jaage hain,
maut bhi aati nahi hai.. mujhko sulaane ke liye.

bohat pyaara mere khwaabon ka jawaan hona tha,
huye sab be-rang se kyun.. ek begaane ke liye.

kya kahein apne shauk bhi badal diye maine,
koi afsaana nahi ab.. kisiko sunaane ke liye.

yeh shehar hai veeraan, chalo ab chalein tannha,
jagah baaki nahi yahaan.. mere thikaane ke liye.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts