waise tujhe bhi to koi dil se yaad aaya hoga

jis tarha mujhe kisi ki yaad aati hai hamesha,
waise tujhe bhi to koi dil se yaad aaya hoga,

jaise meri aazmaishein chalti rahi umr bhar sanam,
tujhe bhi to kadam kadam par waqt ne aazmaya hoga,

teri nazar ne mera karaar hamesha ke liye chhina to kya,
meri berukhi ne tera chain kabhi tanhai mein churaya hoga,

mere hote hue zamane mein itna dum kya hai?
na tha main tab zamane ne tujhe sataya hoga,

tujhe ghum mile is se pehle main mar jaaon aye dost,
woh the log jinhone apni ulfat ka tamasha banaya hoga,

tere gham saare meri kismat mein aajaaye to bas tha,
kya pata kya khuda ke zehn mein aaya hoga,

na thi meri yeh khwahish ke tujhe gham-e-ishq mile,
par meri hi judai ne tujhe bedardi se tardpaya hoga,

raaj tujhe yaakin na ho jo apni mohabbat par to sunn,
kitab-e-dil ke har panne mein ussi ka naam aaya hoga.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts