reh jaayegi yeh zindaagi bhi ek samjahauta bankar

jhoote sapne aankhoon mein kab tak hum sajaayenge,
tut jaane par unke phir aanshu hum bahaayenge.

hain hum insaan...
insaan hona khud mein ek sazaa hai,
jaane kis roz hum ye baat samajh paayenge.

jeena humko hai khokle riwaazon ko nibhaate huye,
dharm-o-mazhab ke issi bandhan mein jiye jaayenge.

hote jo pancchi..
na baandh paati sarhadein bhi humein,
hain jo insaan..
bebas bin pankhon ke kaha jaayenge.

reh jaayegi yeh zindaagi bhi ek samjahauta bankar,
jaankar bhi hum kuch na kar paayenge.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts