mere gum ko apna sako to pyaar mujhse kijiye

meri tanhahiyon ko samajh sako to saath apna dijiye,
mere gum ko apna sako to pyaar mujhse kijiye,

raahe nahi yeh aasan kanto se bhara safar hai,
aagar chal sako innpe to haath apna dijiye,
mere pyaar ko samaj sako to pyaar mujhse kijiye,

chand tare tord sakoon ye meri bas ki baat nahi,
tere siwa kuch bhi to mere pass nahi,

apna mujh ko bana sako to dil mein mujh ko basa lijiye,
mere pyaar ko samaj sako to pyaar mujhse kijiye,

iss duniya se hoon bekhabar, na kohi manjil na dagar,
apni duniya mein le ja sako to awaz mujhko dijiye,
mere pyaar ko samaz sako to pyaar mujshe kijiye,

gumnaam hoon main, na meri kohi pachaan,
iss duniya se bekhbar, hun khud se anjaan,

meri pachaan ban sako to pata apna dijiye,
mere pyaar ko samaz sako to pyaar mujhse kijiye,

zindagi bhar ke safar mein saath gar de sako to,
hamsafar hum ko bana lijiye,
mere pyaar ko samaz sako to pyaar mujhse kijiye.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts