dil ke armaano mein tha koi,
aankhon ke khawabon mein tha koi,
meri madh bhari nigahon se puchho,
mere haste labon pe tha koi,
cham chamati mehfilon mein nahi,
raashte ki galiyon mein tha koi,
meri dil ki tanhaiyon se puchho,
meri parchhaiyon mein tha koi,
mere din to guzar jate par,
raatein tanha na kat ti meri,
meri badalti karwaton se puchho,
raaton ki thandi hawaon mein tha koi,
sawan mein jab bhi bheegta main,
chand ko baahon mein bharta main,
mere jalte sulagte saanson se puchho,
un sawan ki boodon mein tha koi,
aksar unke aane se pehle,
maine ye mehsoos kiya hai,
sirf ye tanha dil tha mera ,
aur iske kareeb na tha koi,
dil ke armaano mein tha koi,
aankhon ke khwabon mein tha koi...
aankhon ke khawabon mein tha koi,
meri madh bhari nigahon se puchho,
mere haste labon pe tha koi,
cham chamati mehfilon mein nahi,
raashte ki galiyon mein tha koi,
meri dil ki tanhaiyon se puchho,
meri parchhaiyon mein tha koi,
mere din to guzar jate par,
raatein tanha na kat ti meri,
meri badalti karwaton se puchho,
raaton ki thandi hawaon mein tha koi,
sawan mein jab bhi bheegta main,
chand ko baahon mein bharta main,
mere jalte sulagte saanson se puchho,
un sawan ki boodon mein tha koi,
aksar unke aane se pehle,
maine ye mehsoos kiya hai,
sirf ye tanha dil tha mera ,
aur iske kareeb na tha koi,
dil ke armaano mein tha koi,
aankhon ke khwabon mein tha koi...
No comments:
Post a Comment