rishta aashkon se ab aur nahi main nibhana waala

rishta aashkon se ab aur nahi main nibhana waala,
na ab koi khushi hai mujhe na koi dard rulaane waala,

muskura bhi nahi paata hoon ab apno ke beech main,
ab koi bhi nahi duniya me mujhe hasaane waala.

parda hoon raahon me ek pathar ki tarah,
ab koi nahi hakk mujh pe apna jataane waala,

saath kis ke dekhta main khwab mahobbat ke yaaron,
kahin khud he kho gaya woh aashiyana saath basaane waala.

andhero me khud se he batiyane laga hoon main,
koi bhi nahi ab mujhe apna haal-e-dil sunaane waala.

nayi suruwaat karu bhi kaise,
nayi manzil ki aur aye zindagi,
toone gam diya bhi to kabhi na bhulaane waala.

itna waqt beeta par koi marham kaam he na aaya,
kya karu koi shauk he nahi mujhe zamaane waala.

jaane woh kaun thi jiski yaadon me roya karta tha,
ab to baki na raha ek bhi aansu bahaane waala.

gar rooth bhi jaau toh kis ka raah dekhu,
koi bhi nahi ab mujhe manaane waala.

banaya tha khuda ne ek sakhas mere liye bhi,
bina mile he kahin kho gaya, woh dil me samaane waala.

kis chehre me pehchanu usey, meri aankhein poochti hai,
jaane kis raah se ho kar gaya hoga mujhe bhulane waala.

sirrat dekhe bina he jisne zindagi tere naam kar di,
kya mil gaya tumhe koi aur bhi palkon pe uthaane waala.

ho gayi hai pathar si ye aankhe barso ke intezaar me,
teri ek aahat ke liye ruka hai koi duniya se jaane waala.

zara dekh lo uss darwaaze ki aur mujhe jalaane se pehle,
shayad kahin raah bhool gaya hoga woh aane waala…

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts