hum judaa ho jayein ge to dil ko kya samjhaaoge

mere liye namumkin hai par tum bhi nahi kar paaoge,
hum judaa ho jayein ge to dil ko kya samjhaaoge,

khushi ka yeh mauka ki tum manzil ko paa rahe ho,
par yeh gham zaroor hai ke mujh se door jaa rahe ho,

dekho jaate jaate tum meri simt na dekhna,
aur na hi koi khayaal mera apne dil mein uss pal rakhna,

warna tum bhi ro doge aur mujh ko bhi rulaaoge,
hum judaa ho jayeinge to dil ko kya samjhaaoge,

jo pal sath bitaaye woh yaad yakinan aayeinge,
kabhi kareinge namm naina, aur kabhi hansayeinge,

jab yaad meri aayegi to tum chaand ko dekha karna,
meri nazar hai wahin kehin bas yeh socha karna,

koi bhi halaat ho, aise mein tum muskuraaoge,
hum judaa ho jayeinge to tum dil ko kya samjhaaoge.


No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts