ek muddat ke baad unhein saamne jab dil ne paaya,
uth-te huye jazbaaton ko dil yeh rok na paaya,
dekhte hi unko ashk mere be-hisaab behne lage,
kya gujri humpar bin unke, dil unko samjha na paaya,
lipat kar unse phir dil ko yun humne tassali di,
laut aaye hai woh jinke bagair, dil ne ek pal chain na paaya,
khwaab mere adhure se jo reh gaye the kabhi,
dekh usse har khwaab ko humne pura hota hua paaya,
raaj darta hai... phir kam ho na jaaye yeh khushi,
kayi mannaton ke baad humne khuda se unhein hai paaya.

No comments:
Post a Comment