meri yaadon mein tum, mere khayalon mein tum

tab bhi tum mere khayalon mein kayam thi,
jab tum meri zindagi mein aayi na thi,
mujhe rehta tha har pal ek ajab sa suroor,
jab teri aankh dab dabai na thi,

main besudh sa chala ja raha tha teri talash main,
tere chhah ne mujhe koi naye rah dikhai na thi,
woh tera kehna ki main ek saya hoon,
mujhe na dekh paoge tum kabhi bhi,

lekin main to tumhe har pal har ghadi main dekhta hoon,
in nazaron mein tum ho, phoolon mein tum ho,
ghumti gaati hawaon main tum ho,
bhanbhre ki mitthi gun gun mein tum ho,

suraj ki sunehri kirno mein hai akas tumhara,
chand ki chandni mein chhipi ho tum,
meri hassi mein muskurati ho tum,
mere aanshuon mein behti ho tum,

meri yaadon mein ho tum, mere khayalon mein bhi tum,
meri ankhon ke sagar mein pari seep ka moti ho tum,
meri zindagi ke deepak mein jal rahi joti ho tum,
baarish ki har ek boond mein bhig rahi ho tum,

inder dhanush ke har rang mein rangi ho tum,
dhuup mein hai garmi, tumhare badan ki,
iss reshmi raat ke ehsaas mein bassi ho tum,
tum ho kudrat ke har ek nazare mein,

main har cheez mein tumko dekh raha hoon,
mere liye roshan hai yeh jaha tere wajood se,
agar khuda na banata tum ko to adhoori rehti uski khudai,
har cheez tere ehsaas se lagti hai apni,

warna ajnabi hai humse hamari hi parchaai,
tujhe in aankhon se dekhna to koi bari baat nahi,
tujhe dekhta hoon main har paal mann ki aankho se,
yeh mera ehsaas lagta hai bahot pyara mujhe,

teri aankhon mein ho raha hai tera nazara mujhe,
tera nazara mujhe.. tera nazara mujhe.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts