to esmein mera kya kasoor

pardh ke soyaa tha raat mein
jab need khulli to laga
sapna adhuraa hai,
phir so gayaa tha yaad mein
ab exam chhut gaya
to esmein mera kya kasoor?

ja raha tha train mein
tujh jaisa dikha tha ek chehra
samjha tu hai to chal parda us ore,
samaan chori ho gaya mera
to esmein mera kyaa kasoor?

kitchen mein baitha
maa boli dudh dekh lena,
teri tarah ek awaaj sunayi di,
main dekhane nikala
aur dodh jala gaya,
to esmein mera kya kasoor?

paristhitiya nahi mere sang
jeevan chal raha hai mera bedhang,
gaadi ke neeche dab jata hoon
aspataal mein bherti ho jata hoon,
to esmein mera kya kasoor?


No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts