yug badle duniya badli maa ka rup nahi badla

aaurat ka hi hai dusra naam yahan balidan kyo?
har yug mein hota hai, seeta ka hi apmaan kyo?

aapne phul ki khatir jo kanton par bhi chalti hai,
deti hai phir dukh usko, uski hi santaan kyo?

beti, bahu kabhi maa banke, zulm sabhi ke sehti hai,
a-auraat.. yeh bata mujhko, itni hai tu mahan kyo?

badla teri mamta ka, koi bhi jab nahi deta,
phir bhi pyaar lutati hai, banti hai tu nadaan kyo?

yug badle, duniya badli, maa ka rup nahi badla,
bhagwaan bhi sajdha karta jise, dhhata zulm jahan hai kyo?

a-aaurat jo na hoti tu, hota kuch na duniya mein,
tu hi jag ki janni hai, iss baat se hai log aanjaan kyo?

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts