dil ki chahat kahan puri hoti hai

dil ki chahat kahan puri hoti hai,
sapno ki baatein kahan sach hoti hai? 

kehne ko keh jaate hain log apna kisiko,
kya jaane iski kya wajah hoti hai? 

karke rushwa pyar ko duniya mein,
log pyar ko bewafa keh jaate hain. 

sunne ki chahat dikhate hai dil ka haal,
shayad unke hasne ki yehi wajah hoti hai. 

kaha tha unhone mujhe apna ek roz,
yeh dillagi ki chahat humein aaj bhi hoti hai.

hum yaad tumhein aaj bhi karte hain subah-aur-shaam

kya-kya khayaal jee se guzarte hain subah-aur-shaam,
zakhm naye dil mein ubharte hain subah-aur-shaam. 

sadiyaan guzar gayi hai tumhein bewafaa hue,
hum yaad tumhein aaj bhi karte hain subah-aur-shaam. 

reh-reh ke chaunk-chaunk ke main neend se jaagun,
ban-ban ke mere sapne bikharte hain subah-aur-shaam. 

jab-jab teri yaadon ki ghataa dil pe chhaayi hai,
baadal meri aankhon ke baraste hain subah-aur-shaam. 

pal-pal main dekhta hoon uth ke raahguzar ko,
naina teri dedaar ko taraste hain subah-aur-shaam. 

mat poochiye kya aalam-e-khwaab aur ummeed hai,
angaar se seene mein dehakte hain subah-aur-shaam. 

aakhri baar jab chhua tha tere phoolon se badan ko,
ke haath ab bhi mehakte hain mere subah-aur-shaam. 

roz hi jaagte hain jeetne ki khawayish le kar

gumsum ho jaate hain, baadal roz garaz kar,
hum bhi so jaate hain, unki ek jhalak ko taras kar, 

woh kisi aur ke mehboob hain log kahte hain,
lahoo se naam likh, hum mohabbat parakhte hain, 

roz hi jaagte hain, jeetne ki khawayish le kar,
aur roz soo jaate hain, apni kismat se haar kar.

iski bhi koi wajah to nahi

tujh ko chahun.. koi wajah nahi,
bhool jaun tujhko, iski bhi koi wajah to nahi. 

jeeyun hans ke.. koi wajah nahi,
bahaun aanshu, iski bhi koi wajah to nahi. 

pyar to tha kuch humare beech.. be-wajaha nahi,
jo doori hai aaj darmiya humare, iski bhi to wajha nahi. 

kashmakash jo hai tere chehre pe.. usko koi wajah nahi,
kayam rahe dosti humari, iski bhi koi wajah to nahi, 

mile hum phir kabhi.. koi wajah nahi,
umeed rahe baaki milan ki, iski bhi koi wajah to nahi .

woh bhi kya din the

woh bhi kya din the.. sotey the tere aachal ke taley,
aaj kafan ko tarsti padi hai laash meri tere dar pe, 

woh bhi kya din the.. jab milke phir milne ko tarste the,
aaj beet gaya zamana jhalak teri dekhe hue, 

woh bhi kya din the jab.. soti raato mein jaga kiye the,
aaj sone ko tarsta hai dil ki dekhun tujhe khawab mein, 

woh bhi kya din the.. hansi teri misri ghol jaati thi,
aaj aawaz sune bhi teri taraste baithe hain, 

woh bhi kaya din the.. jab hum sang muskurate the,
aaj rone ko bhi kandha dhundhte hain. 

mujhe to khud se mile zamana hua

dekhe tumein ek zamana hua,
kaisi ho tum..
yeh puuche zamana hua.

kya yaad aata hoon main,
yeh puche ek zamana hua,
sune teri hansi ek zaman hua.

khayalon main mere basne wali,
tujhko apna kahe ek zamana hua.

naa bataya gaya tujhse apna dukh,
hanse hue mujhe ek zamana hua.

roti aankhon mein ab ek hai suna-pan,
ashk bahaye mujhe ek zamana hua.

khali bahene sard sanase liye baitha hoon,
kisi garmi ka ehsas hue zamana hua,

kisi ki kya kahun
mujhe to khud se mile zamana hua. 

Happy Birthday Baba

chalo milakar andhere mein ek deep to jalaate hain,
apne papa ke khoye hue, sapane ko lautaate hain,

apni tankhwaa ki gasti mein, khushiyaan dubo di,
apni saari khwaahishon ki, tithi hi badal di,

chalo apni safalta ke, geet gungunaate hain
paapa ke janmadin ki khushiyaan manaate hain,

apane waqt ko bator uphaar rup mein laaya hai,
papa ke dhalte huye kandhe ko, 
nayi ummeedon se sajaaya hai,

papa tum jeevan ka saaraansh ho,
papa tum hi saare savaal ka ant hai,

thehar jaao.. aapke bujhate hue aankhon mein
naya khwaab to basa doon,
aapke janmadin ka paigaam
saare shehar ko bata doon.


Happy Birthday Baba!

All Time's Favourite Posts