arsa hua ki likha nahi hai tumne, ab tum kaise ho,
saathi milein hain tumko kaise, jaha ab rehte ho?
isi bich wo mausam aya hai sawan ka jo pehle aata tha,
us seher ki barsih kaisi hai jis seher mein tum ab rehte ho?
koi wahan pe dost bana hai, jis se dil ka hal kaho,
jisse bhari aanhkein bahk sako, jis ko tum ab dhekte ho?
koi wahan pe aisa hai, jo saari duawein tum ko de,
muddat se malum nahi kuch, likho mujh ko tum ache ho?
jis rishte se hum pagal the, wo nata to abhi bhi baki hai,
mujh ko pagal kehne wale, kya tum bhi abhi tak pagal ho?
apna hal sunao, kya kuch suna hai ye sun lo,
rashton ko abhi bhi main yun dekhta hoon,

jaise keh gaye tum abhi thordi der mein ate ho..
No comments:
Post a Comment