kash ki tum mere liye ajnabi hi rahte

agar hum ek dusre se anjane hi rahte,
naa milte tumhein kabhi,
naa pyaar tumhein kerte.

naa kabhi tumse haal-e-dil kahte,
kash ki tum mere liye ajnabi hi rahte.

naa chalte mere saath,
na hota mere haathon mein tera haath,
naa tutata dil mera, 
naa iss tarah se armaan mere bhikharte,

agar hum tere liye ajnabi hi rahte,
naa tardapte, na raaton ko uth ker,
tumhein yaad ker pukarte,

naa iss taran se,
hum aankhon se aanshu bahate,
agar hum ek duje ke liye ajnabi hi rahte.

naa duniya se khaffa hote,
naa khud se begaane hote,
duniya ki iss jubaan ko khamosh hi rakh paate,

naa duniya mein aapne aap ko deewana kahate,
ager tum mere liye ajnabi hi rahte.

naa tutate sapane,
na hote judaa hum,
naa hum teri raah mein palkein bichhate,

naa yaadon ki mala ko,
rah rah ke pherte,
kash ki tum mere liye ajnabi hi rahte.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts