kaisi yeh talash hai

kaisi yeh talash hai,
na manzil ka pata hai,
na karvan koi saath hai.

woh mera aks na jaane kahan khoya hai,
aub takdeer ke toote shishe mein hi
pehcchan dhoondh rahe hain apni. 

socha shayad paani mein
mil jaye apani parchayi, 
paani ke bahav ke saath
anjana ban gaye hain woh bhi. 

zindagi yun bewajah naa hoti,
shayad mutti mein khawabon ki khusbu hoti,

kahin door se aane wali pakhwaj  ki dhun bhi surili hoti,
yun humein apane hi aks ki talash na hoti. 

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts