main shaayar hoon aisa

main shayar hoon aisa ki,
sab ke har gam ko bhulana chahta hoon.

apni har shaayri se main,
sabka dil jeetna chahta hoon.

main shaayar hoon aisa ki,
main sabko khush dekhna chahta hoon.

apni har shaayri se sab ke,
chehare par muskaan laana chahta hoon.

main shaayar hoon aisa ki,
main apni shaayri ko,
sab ke dil mein basana chahta hoon,

apni khusi aur gam ko,
sab ke sath main batna chahta hoon.

main shaayar hoon aisa ki,
har shaayri mein kuch
alag banana chahata hoon.

apni zindagi bas apne tarike se,
main jeena chahta hoon.
main shaayar hoon aisa...

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts