main shaayar hoon aisa

main shayar hoon aisa ki,
sab ke har gam ko bhulana chahta hoon.

apni har shaayri se main,
sabka dil jeetna chahta hoon.

main shaayar hoon aisa ki,
main sabko khush dekhna chahta hoon.

apni har shaayri se sab ke,
chehare par muskaan laana chahta hoon.

main shaayar hoon aisa ki,
main apni shaayri ko,
sab ke dil mein basana chahta hoon,

apni khusi aur gam ko,
sab ke sath main batna chahta hoon.

main shaayar hoon aisa ki,
har shaayri mein kuch
alag banana chahata hoon.

apni zindagi bas apne tarike se,
main jeena chahta hoon.
main shaayar hoon aisa...

unki yaad mein sab kuch bhulaye baithe hain

pyar karne walo ki kismat kharab hoti hai,
har waqt inteha ki ghadi saath hoti hai,
waqt mite to rishto ki kitab khol ke dekhna,
dosti har rishte se lajawab hoti hai.

unki yaad mein sab kuch bhulaye baithe hain,
chirag khushiyo se bujhaye baithe hain,
hum to marenge unhi ki bahon mein,
yeh maut se shart lagaye baithe hain..

tarasta hai dil teri awaz ke liye,
tere mohabat bhare chand alfaz ke liye,
kar do humein fanah apni is adda se,
tardapte hain hum teri is saza ke liye!!!

woh raat utni tanha kyu hoti hai,
sabko kismat se shikayat kyu hoti hai,
kismat bhi ajeeb khel khelti hai,
jise pana mushkil hota hai,
mohabbat ussi se kyu hoti hai.

tum hote jo aaj pass mere

tum hote jo aaj pass mere,
to jaane kya kar jata,
palkein jhuka ke apni,
aankhon ko nam kar jata,

tum hote jo saath mere,
jaane kya baat hoti,
har udaasi mein meri,
khushi ki koi aas hoti,

tum hote jo mere 
apne,
jaane kya duniya kehti,
maut bhi mujhe hass ke kabul hoti,

tum hote mere humsafar,
toh jaane kya baat hoti,
kat jati zindagi tere pyar mein aur,
maut teri bahon mein ek saugat hoti..

kiski hai yeh kashish dil mein mere

kaun pukar raha hai mujhe, 
ye kiski aahein hain,
koi na aaye nazar,
phir kiski ye baahein hain,

koi chehara nahi hai aankhon mein meri,
phir kisko talashti har chehare mein meri nigahein hain,

kiski hai yeh kashish dil mein mere,
kiska rashta dekhte yeh meri raahein hain,

saath deti koi to badate hum bhi kadam,
na hai koi mera, 
phir bhi dikhti yeh kiski panahein hain.

ek baar tumse milne ki tammanna liye

ek baar tumse milne ki tammanna liye,
mein jee raha hoon.

zaher bani zindagi ko,
tere intezaar mein pee raha hoon.

kalam ko to kabhi theek se pakardna nahi seekha,
dekh tere pyaar mein, intezaar mein,
tere liye nagmhe likh raha hoon.

aaogi mujh se milne ko, tum ek din,
bus ussi din ki chah mein,
mere ghar tak aate her raaste per,
nazarien bicha raha hoon.

tumhare ghar se, 

mere ghar tak,
kyon ek bhi raasta nahi,

mere ghar se , tumhare ghar tak,
naa jaane kitne raaste hai nikal rahe.

hai din wahi saanjh wahi

hai din wahi hai,
saanjh wahi,
bas pal hi koi aur hai...

barsat wahi,

ehsaas wahi,
bas pal hi koi aur hai...

hai badal wahi,

thandak wahi,
barsaat ho kahi aur hai...

main wahi,

kagaz wahi,
bas shabd hi koi aur hai...

hai chand wahi,

chandni wahi,
bas mera chand hi kahi aur hai...

teri kami hai

phoolo ke bich khade ho kar bhi khusboo ki kami hai,
baharo ke bich jhoom kar bhi khushiyon ki kami hai,
sabke saath hote huye bhi mere mehboob teri kami hai.

ek hum hai ki muskurana bhool gaye

juda huyi woh humse kuch is tarah,
hum saase lena bhool gaye.

rehta hai uska intezar aaj bhi aks ko,
isliye hum ankhein bandh karna bhool gaye.

log hass hass ke urdate hain mazaak mera,
aur ek hum hai ki muskurana bhool gaye.

ek waqt tha ki likhta tha aksar shayri uss ke naam,
aur aaj kehte hain woh ki hum kalam uthana bhool gaye.

tu meri na ho saki main tera na ho saka

tu meri na ho saki, main tera na ho saka,
tere shaher mein kuch bhi mera na ho saka.
khushi bhi aayi to mehman banker,
naata bhi gamon se gehara na ho saka.

dil mein diwaar maine itni khardi kar li

bhool shaayad bahut bardi kar li,
dil ne duniya se dosti kar li,
tum mohabbat ko khel kehte ho,
humne barbaad zindagi kar li..

unhone dekha bardi inaayat se,
aankhon aankhon mein baat bhi kar li,
jo aashiqi mein bahut jaruuri tha,
woh bewafaai unhone humse kar li..

hum nahi jaanate chiragon ne,
kyon andheron se dosti kar li,
dhardkane daffn ho gayi hongi,
dil mein diwaar maine itni khardi kar li.

sach bata tujhko hai kasam

bichadkar phir milenge hum
ek roz tune yeh wadaa kiya tha,
sach bata tujhko hai kasam
aakhir tera iradaa kya tha?

mujhe na ho dard yaa
tujhe na bewafaa kahoon kabhi,
sach bata tujhko hai kasam
kyu tune yeh jhoota wada kiya tha?

tu to na aayi magar
dekh mein intzaar phir bhi karta raha,
sach bata tujhko hai kasam
kyu tune chahat ka dikhawa kiya tha?

suna jab tu ban gayi kisi aur ka
na mujhko yeh yakeen aaya ab tak,
sach bata tujhko hai kasam
kya tune sach mein kabhi mujhe chaha na tha?


main ek pal ka shaayar hoon

main ek pal ka shaayar hoon,
ek pal meri kahani hai,
bas ek pal meri hasti hai,
bas ek pal meri jawaani hai...

rishton ka roop badalta hai,
buniyadein khatam nahi hoti,
khawaabon ki aur umango ki,
miyadein khatam nahi hoti.

ek phool mein tera roop basa,
ek phool mein meri jawaani hai,
ek chehra teri nishaani hai,
ek chehra meri nishaani hai.


main ek pal ka shaayar hoon,
ek pal meri kahani hai,
bas ek pal meri hasti hai,
bas ek pal meri jawaani hai...


tujhko mujhko jeevan ka kadwa ghut,
ab inhi haathon se peena hai,
inhi dhardkano mein basna hai,
inhi saanson mein jeena hai,

tu apni addayein baksh inhein,
main apni wafaein deta hoon,
jo apne liye sochi thi kabhi,
woh saari duaein deta hoon..

main ek pal ka shaayar hoon,
ek pal meri kahani hai,
bas ek pal meri hasti hai,
bas ek pal meri jawaani hai...

ruk thehar jaa aye zindagi

ruk, thehar jaa... 
do pal humare liye aye zindagi,
baith kuch pal humare sath,

kuch apani suna aur kuch sun meri,
kyon ordhi hai tune itni sanzidagi,

ruk, thehar jaa.. 

chal yaad karte hain unn hasin lamhon ko,
jab kheli thi humnein aankh michholi,

tune har bar mujhe dhundh nikala,
aur jab meri bari aayi to tu doud pardi,

ruk, thehar jaa...
jab hath thamma tha tune,
to mujhe hazaro khwab diye the,

armanon ko rangane ke liye,
kayi rang diye the,

to phir aaj kyo hath chord ja rahi,
ruk thehar jaa aye zindagi

naa jaan kyon log dil laga baithte hain

kitna dard hota hai pyar mein,
phir bhi naa jaane log kyon kissi ko khone
ke liye apna bana baithte hain.

kitna dard hota hai iss pyar mein,
naa jaan kyon log dil laga baithte hain.

kyon log kissi ki yaadon ko dil mein basa baithte hain,
humne jab puchha apne dil se,
to jawab mila ki humne aisa kyon kiya?

hum kyon unke liye tardapte hain
hum kyon apne dil ko unki gham bhari yaadon
ke samundar mein baha baithte hain.

khamosh rah ker bhi koi kuch keh raha ho jaise

khamosh rah ker bhi koi kuch keh raha ho jaise,
dard mere tootne ka sah raha ho jaise.

mere seene ki tardap mere aankhon mein nazar aati hai,
meri dhardkanon mein wo reh rahi ho jaise.

mere pyar mein kya thi kami

mujhe bataya hota bas itna,
mere pyar mein kya thi kami,


dekho aaj meri ankhon mein,
chhai hai kitni nami,

mujhe chorda rahon mein tannha,
pyar karne ki kyun,

dil yeh paaye saza itna,

tum hi batao mere pyar mein,
kis baat ki thi aakhir kami?


jo di itni badi sazza tumne,
guzarne ki tannha zindagi,


dil tumne basaya apna,
torda hai mera har sapna,

meri khwahishon ko raunda hai,
shayad pyar tumhare liye sauda hai,


mera ek-ek aanshu mujhse
poochta bas itna hai,

jiska dil hai patthar ka,
pyar tu usse kyu itna kerta hai?


bahut samjhata hun khud ko,
behlata bhi hun iss dil ko,
par yeh kuch nahi maanta hai,
yeh sirf tumhe hi mangta hai,


kaise samjhaun main isko,
ki tumko pana ek sapna hai,
sapna hokar bhi tu apna hai,


mere dil ki gehraiyon ki,
mere man ki sachaiyon ki,
kadar kabhi na tumne ki,

tumse pyar karne ki bhool ne,
zindagi meri tabaah kar ki...

kash ki tum mere liye ajnabi hi rahte

agar hum ek dusre se anjane hi rahte,
naa milte tumhein kabhi,
naa pyaar tumhein kerte.

naa kabhi tumse haal-e-dil kahte,
kash ki tum mere liye ajnabi hi rahte.

naa chalte mere saath,
na hota mere haathon mein tera haath,
naa tutata dil mera, 
naa iss tarah se armaan mere bhikharte,

agar hum tere liye ajnabi hi rahte,
naa tardapte, na raaton ko uth ker,
tumhein yaad ker pukarte,

naa iss taran se,
hum aankhon se aanshu bahate,
agar hum ek duje ke liye ajnabi hi rahte.

naa duniya se khaffa hote,
naa khud se begaane hote,
duniya ki iss jubaan ko khamosh hi rakh paate,

naa duniya mein aapne aap ko deewana kahate,
ager tum mere liye ajnabi hi rahte.

naa tutate sapane,
na hote judaa hum,
naa hum teri raah mein palkein bichhate,

naa yaadon ki mala ko,
rah rah ke pherte,
kash ki tum mere liye ajnabi hi rahte.

yeh kamzori meri thi

rok na saka main chahaton ka sailaab,
yeh kamzori meri thi,

badle mein woh bhi chahate mujhe,
unhein kya pardi thi,

mere liye to woh eklotta the iss jahan mein,
magar unke liye saari duniya pardi thi.

tera mujhko phir se rulana bahut hua

teri chahat mein jag bhulana bahut hua,
tera mujhko phir se rulana bahut hua,

waada aye wafa nibhate rahe chup chaap,
tera mujhe nigahon se girana bahut hua,

jalaa ke raakh kiya teri berukhi ne mujhe,
tera khumar-e-dil ko yoon jalana bahut hua,

dikh gaya nazron ko tera duhara chehara,
janaan abke tera yakeen dilana bahut hua,

gar yehi sazza hai tujhe pane ka mera,
tau bin afsos tera lut jana bahut hua,

tujhse mohabbat nahi, teri ebadat ki maine,
ab apne baare mein tujhse sunna bahut hua,

gairon pe karam, humpe sitam, uspe berukhi teri,
tera har baat pe mujhpe ungli uthana bahut hua,

cheen lo raj ki aankhon se saare khwaab,
teri yaadon mein har roz aanshu bahana bahut hua.

kabhi kissi hasina pe dil naa lagana

kehta hun main tumhein ek baat,
apne dil ke nisha bayan kar ke,

kissi hasina pe dil naa lagana kabhi,
reh kar uski raah mein naa deedar karna kabhi,

usse dil ki baat kehna naa kabhi,
ki tum hi ho meri jaan,
tum hi se hai yeh jahan,

yeh keh kar tum humesa ke liye,
dil ke darbaar mein usse basana nahi,

woh kambakt har hasina ki tarah,
rait pe likhe har naam ki tarah,
tumhein pal bhar mein bhula degi,

 jayegi tumhare liye yaadon ka toffa chord ker,
baki zindagi ussi ke bharose katne ke liye.

mann akela hai saath saath chalo

dil kehta hai saath-saath chalo,
zakham kheta hai saath-saath chalo,

bediyan daal kar paaon mein,
waqt kehta hai saath-saath chalo.

bhird bahut hai saath mein lekin,
mann akela hai saath-saath chalo.

tere hone pe raat bhi mujhe,
din sa lagta hai.. saath-saath chalo.

aakhri sez per se chillaakar
ruh tardapta ker kehti hai saath-saath chalo.

saath rehne mein hausla mera,
kuch to rehta hai saath-saath chalo

in a special world where we belong

a special world for you and me,
a special bond one cannot see,
it wraps us up in its cocoon,
and holds us fiercely in its womb.

its fingers spread like fine spun gold,
gently nestling us to the fold,
like silken thread it holds us fast,
bonds like this are meant to last.

and though at times a thread may break,
a new one forms in its wake,
to bind us closer and keep us strong
in a special world, where we belong.

us seher ki barsih kaisi hai jis seher mein tum ab rehte ho

arsa hua ki likha nahi hai tumne, ab tum kaise ho,
saathi milein hain tumko kaise, jaha ab rehte ho?

isi bich wo mausam aya hai sawan ka jo pehle aata tha,
us seher ki barsih kaisi hai jis seher mein tum ab rehte ho?

koi wahan pe dost bana hai, jis se dil ka hal kaho,
jisse bhari aanhkein bahk sako, jis ko tum ab dhekte ho?

koi wahan pe aisa hai, jo saari duawein tum ko de,
muddat se malum nahi kuch, likho mujh ko tum ache ho?

jis rishte se hum pagal the, wo nata to abhi bhi baki hai,
mujh ko pagal kehne wale, kya tum bhi abhi tak pagal ho?

apna hal sunao, kya kuch suna hai  ye sun lo,
rashton ko abhi bhi main yun dekhta hoon,
jaise keh gaye tum abhi thordi der mein ate ho..

haven’t you ever wondered

have you ever wondered,
what love feels like...
the feeling for passion,
the feeling for pleasure.

have you ever wondered,
what having a man feels like...
the feeling of his arms,
the feeling of his lips,
brushing against yours.

have you ever wondered,
what sadness feels like...
the feeling of depression,
the feeling of lostness.

have you ever wondered,
how being different felt like...
the feeling of loneliness,
the feeling of uniqueness.

have you ever wondered,
what life feels like...
the feeling of unfairness,
the feeling of guiltness.

have you ever wondered,
what you feel like...
the feeling of mirrors all around,
the feeling of your heart.

haven’t you ever wondered??

tukardo mein pardi huyi zindagi hum har lammha jord rahe the

bikhari pardi thi zindagi,
hum na jaane kaha the,

dur kahi veerane main khud ko dhundhte,
hum na jaane kaha the..

raat ke andhere roshan the,
chaand ki roshani se humne bhi chahi,

thodi si roshani par,
apne mukaddar aise kaha thi,

tanha hi bhag rahe the,
unn andhere veeranon mein,

koi deta tha awaaz humein,
jo dekha murdkr koi nahi tha,

bulaati thi koi mujhe apne pas,
jo dekha murdkr koi nahi tha,

khade hokar gir jana phir sambhalna,
har justzu puri karne ki koshish kar rahe the,

tukardo mein pardi huyi zindagi,
hum har lammha jord rahe the

kaisi yeh talash hai

kaisi yeh talash hai,
na manzil ka pata hai,
na karvan koi saath hai.

woh mera aks na jaane kahan khoya hai,
aub takdeer ke toote shishe mein hi
pehcchan dhoondh rahe hain apni. 

socha shayad paani mein
mil jaye apani parchayi, 
paani ke bahav ke saath
anjana ban gaye hain woh bhi. 

zindagi yun bewajah naa hoti,
shayad mutti mein khawabon ki khusbu hoti,

kahin door se aane wali pakhwaj  ki dhun bhi surili hoti,
yun humein apane hi aks ki talash na hoti. 

at least we believe

many people don’t think,
that we will make it,
at least we believe..!

many people say.. 
your not the one for me,
or I am not the one for you,
at least we believe..!

many people say,
we don’t know what love is,
at least we believe..!

many people treat us different,
and always put us down,
at least we believe..!

at least we belive,
we know we are for each other,
and meant to be..
at least we believe..!!

ek din woh kyu bewafa ban jaate hain

jab hum nibhate hain rishte dil se,
to koi kyu rishte tord jaate hai?
jab millte hain do pyar karne wale,
to kyu dard ke sath wo dono bichard jaate hain?

jab jana hai kisiko door itna,
to woh log dil ke itne kareeb kyu aate hai?
pehle to kasme waade nibhane ki baat karte hain,
phir ek din kyu bewafa ban jaate hain?

hum to apni pehchan mitta baithe

pakar pal do pal ki khushiyan,
umar bhar ke muskan gawan baithe,

hum to kisi ke chahat ke liye,
apani hasratein bhula baithe,

koi kare na sikhve humse,
hum apna gum bhula baithe,

duniya mein na samjhe humein koi,
hum to apni pehchan mitta baithe,

ab dard se kya shikayat kare hum,
jab khud hi ye zakham laga baithe.

All Time's Favourite Posts