phir se ek baar unhein pukaar kar dekhun

main apne aap se ek zang haar kar dekhun,
phir se ek baar unhein main pukaar kar dekhun,

wo waapis aaye ya na aaye ye marzi unki,
ek baar chaahat ka naseeb sawar kar dekhun,

unhein chahta rahun sirf unhein hi pyaar karun,
ek aur haalat se khud ko guzaar kar dekhun,

sirf dard hi hai mohabbat to phir kya hua,
toofan-e-ghum mein khud ko utaar kar dekhun,

mohabbat ka ujjda chaman hai ye dil mera,
phir se ek baar isse main ujjaard kar dekhun.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts