raahi hai hum us raah ke jiski koi manzil nahin

raahi hai hum us raah ke,
jiski koi manzil nahin,
muzafir hai hum us kashti ke,
jiska koi saahil nahin...

wada kiya gaya tha humse,
har raah, har mod par saath dene ka,
aaj majdhar me hai kashti,
aur uska koi manjhi nahin...

kaha tha.. hum unki zindagi hain,
sab kuch niyochhaawar karenge hum par,
doosron ki khaatir jeewan se alag kiya,
aaj jeewan hai, lekin jeewan saathi nahin...

unke har labz amrit ki vaani samjhe,
sach maan kar dil me utaare,
nadaan the jo itna bhi nahin samjhe,
yeh duniya gairon ki hai apni nahin...

humare dil pe kya gujari,
yeh usne poochha tak nahin,
waade kiye kyon the,
yeh humne poochha nahin...

duniya me jis se aatma jurde,
dhoondte hai log jeewan bhar,
yeh anmol ratan paya hum dono ne,
unko iski keemat hi nahin...

chidiya chug gayi hai sara khet,
ab kuch ho sakta nahin.
apni to duniya hi loot gayi
unki ooff tak nikli nahin...

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts