aur mera tardapna kuch bhi nahi

tere waade.. waade hain,
mere waade kuch bhi nahi,
tere sapne.. sapne hain,
mera apna kuch bhi nahi??

sapno ki ret per,
talash kare hum boondon ki,
teri khawaish.. khawaaish hai,
meri tamanna kuch bhi nahi??

ess murda jism mein,
kuch jaan abhi tak hai baki,
teri saanse.. saanse hain,
aur mera dhardkna kuch bhi nahi??

tannhaiyon ki mehfil mein,
shor utha jasbaaton ka,
teri duniya.. duniya hai,
aur mera ujardna kuch bhi nahi??

band deewaron mein,
chillane ki taakat nahi hai ab mujh me,
teri cheekhein.. cheekhein hain,
aur mera sisakkna kuch bhi nahi??

mat do hawa inn shollon ko,
ki sara chaman hi jal jaaye,
teri aahein.. aahein hain,
aur mera tardapna kuch bhi nahi?

chand sitare denge gawahi meri jaagti raaton ki,
teri neendein neendein hain,
mera jaagna kuch bhi nahi

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts