keh dena ek paagal sa ladka tha

mujhse alag hone ke baad,
koi tumse mera naam jo le,
to keh dena.. raaj ek paagal sa ladka tha,
iss jhooti duniya mein mujhse, 
jo sachi mohabbat kerta tha.

mere ruthne par woh roo deta tha,
mere daat pe bhi woh khus ho leta,
jab saare saath churda lete,
to woh chupke se saath mere ho leta,

himmat wala tha yun to woh par,
mujh ko khone se bahut darrta tha,
mujhse milne ke khaatir woh,
baarish mein bhing kar bhi aata tha.

jis roz main na khaana khaayun,
us din upawas woh rakhta tha,
koi aur nahi tha uska bas,
mujh se hi jeeta-marrta tha.

galti meri bhi hone par,
maafi ki gujaarish kerta tha,
har haal mein main hassti jaaun,
har pal yehi socha kerta tha.

mere laakh mana kerne par bhi woh,
naam mera hi leta tha,
meri ek hassi ki khaatir,
gaane bhi woh gaa deta tha.

mera haath pakkard duniya se woh,
lardne ki baatein kerta tha.


mujhse milne se pehele woh,
duniya mein bahut aakela tha,

jab pehali baar usse dekha,
chahare par dard ka mella tha,

woh hardum hi hassta rahta tha.

jab nind mujhe aa jati thi,
woh pyar se mujhe uttatha tha,
apni baaton se aksar woh, 
mujhe rulaya kerta tha.

uska jeewan bikhara tha par, 
mera khaayal woh bahut rakhta tha,

kuch majboori ke chalte jab, 
maine usse haath churdaya tha,
ussne na koi shikaayat ki, 
bas dhire se muskaaya tha.

meri yaadon mein roya kerta tha,
woh pagala ladka tannha hi, 
meri yaadon se lardta tha,

mere bin zinda rahne ki, 
naakam kosish woh kerta tha.

woh aaj bhi mujh par marrta hai, 
woh kal bhi mujh par hi marrta tha,

koi tumse mera naam jo le,
keh dena.. raaj ek paagal sa ladka tha...

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts