aaj phir se hamein iss mausam mein

aaj phir se hamein iss mausam mein kho jane ko dil karta hai,
teri in naram se aagosh mein simat jane ko dil karta hai,

khusnuma si fizayen hain,
ek madhoshi ka aalam hai,
inn barasti boondon mein,
bheeng jane ko dil karta hai,

ye kaisa ek nasha sa hai mere iss dil par aaj,
teri inn nasheeli aakhon mein,
doob jane ko dil karta hai,

thama sa lagta har lamha,
hawayein bhi kuch madhyam hai,
aaj phir se mujhe tera,
aanchal lehrane ko dil karta hai,

ek muddat se gulistan mein phool khil hi nahi paye,
aaj phir teri hothon ki hansi churane ko dil karta hai,

mera mehboob tu iss sare jahan se bhi nirali hai,
tere har ek nazar pe mar mit jane ko dil karta hai,

aaj phir se hamein iss mausam mein kho jane ko dil karta hai,
teri inn naram se aagosh mein simat jane ko dil karta hai

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts