phir se hogayi mohabbat mujhe

phir se hogayi mohabbat mujhe,
aaj in zindagi ki raahon mein,
basa lenge apni duniya usmein,
so jaayenge uski baahon mein.

jab dhoka mila humein,
mohabbat ke naam se nafrat si hogayi,
ab jeena sakenge iske bina,
aaj humein mohabbat ki zaroorat si hogayi.

yeh andaaz galat tha apna ke,
mohabbat sab ko barbaad karti hai,
mohabbat se chalti hai duniya,
mohabbat duniya abaad karti hai.

chot khaane ke baad mohabbat mein,
aas na thi phir dil lagaane ki,
ab hogaayi humein phir se mohabbat,
dua hai ke nazar na lage zamaane ki.

mohabbat na hoti to jeene ka kisi ko mazaa na milta,
mohabbat na hoti to gulon ko woh haseen fizaa na milta,

mohabbat paak hai...
log iska naam leke sab ko barbaad karte hain,
aur jo barbaad hote hain,
woh na jeete hain aur nahi marte hain.

bharosa hai ke phir na dukhega,
dil hamara mohabbat ke naam se,
kyun ki chahate hain hum usse,
jaanasheen apne dil-o-jaan se.

iss dil ko aa ke teri yaad rulaye

samundar ke paani ko lehar aa ke hilaye,
iss dil ko aa ke teri yaad rulaye,

leharein to phir bhi aa ke laut jaaye,
par dil se teri yaad na jaaye.

samundar to phir bhi, ucchal kar tham jaata hai,
par yeh dil na jaane kyun, tere dard se bhar jaata hai,

teri ek jhalak ke liye humein, duniya bhar ka dard kabool hai,
bas in aakhon ki pyaas ko, ek teri jhalak jo mil jaaye,

samundar ke paani ko lehar aa ke hilaye,
iss dil ko aa ke teri yaad rulaye. 

bardi muddat se aaj hum mile hain

bardi muddat se aaj hum mile hain,
yun na tum humse door jaao,

kuch pal pass humare baitho,
thoda kareeb to aao...

bade waqt se dil mein jo
pyaar chhupa rakha hai humne,
aa tum par jee bhar ke lutau.

le lo mujhe apni baahon mein,
sab kuch bhula kar
main tumhare pyar mein kho jaau. 

chale aao.. monika

lo chord di maine har takkrar.. chale aao,
ab koi nahi wajhe inkaar.. chale aao,
jaagir pe iss dil ki kis kis ki nigahein hain,
ho sirf tum hi iske haqdaar chale aao.

pairon ki nzakat ka ahsas hai mujhko bhi,
chun loonga main raahonse har khaar.. chale aao,
hain saath to phir kaisa andesha-e ruswaai,
kadmon pe jhukega khud sansaar.. chale aao.

iss dil ki har ek dhardkan deti hai sada tumko,
kehta hai yeh ashkon ka har taar.. chale aao,
tere kadmon ki aahat se khilte hain gul mere dil ke,
ban jaayega sahra bhi gulzaar.. chale aao.

mahaul ghumsuda, maayush hawayein hain,
lekar wohi sansoon ki mehak.. chale aao,
jab saath nahi tum hi kya baat rahi raaj ki,
ghum to hai bezaar... chale aao.. monika.

dil unko samjha na paaya

ek muddat ke baad unhein saamne jab dil ne paaya,
uth-te huye jazbaaton ko dil yeh rok na paaya,

dekhte hi unko ashk mere be-hisaab behne lage,
kya gujri humpar bin unke, dil unko samjha na paaya,

lipat kar unse phir dil ko yun humne tassali di,
laut aaye hai woh jinke bagair, dil ne ek pal chain na paaya,

khwaab mere adhure se jo reh gaye the kabhi,
dekh usse har khwaab ko humne pura hota hua paaya,

raaj darta hai... phir kam ho na jaaye yeh khushi,
kayi mannaton ke baad humne khuda se unhein hai paaya. 

re-union in sweet november

it was a day so precious to remember
close to the end of sweet november.
our first kiss together, so ever tender
truly incredible as I could remember.

inside of my heart, nervousness grew
being with you, my dream come true.
the city so beautiful was in our view
my heart racing as I was close to you.

inside my heart I knew you belonged
the night playing us a romantic song.
so cold outside, as our day went on
your gentle kiss I desperately longed.

I leaned in forward, for your soft kiss
truly passionate, as I tasted your lips,
such a kiss, so precious to remember
on a special day, in sweet november.

meri to jaan hai tu

bhool gayi hai woh tumhein, phir bhi anjaan hai tu,
koi thikana nahin tera, kitna la-makan hai tu,

be-wafai kar ki mujh se kiya mill gaya usko?
mere dil se kheli baar baar, kitni be-imaan hai tu,

milenge tannhaiyan tumhein, rahogi uddas tum bhi,
dilon se khelne wali, kaisi insaan hai tu,

maaf kar de 
khuda usse, bardi gham gulzar hai woh,
yahi sila hai tera, wafa ka imman hai tu,

ussi waqt chord dete andherion mein tumhein,
kyun soocha tha maine, khuda ka ehsaan hai tu,

yeh to sach hai ki hansna humne chord diya,
yeh bhi sach hai ki mere chehare ki muskan hai tu,

har koi kehta hai bhool jaao uss bewafa ko,
phir yaad karta hoon tumhein, meri to jaan hai tu. 

lagta hai le legi ek din jaan yeh mohabbat

kaise-kaise leti hain imtehaan yeh mohabbat,
lagta hai le legi ek din jaan yeh mohabbat,

dil mein dhardkane na zindagi mein koi aarzoo,
bulati hai sirf tujhe jaan-e-jaan yeh mohabbat,

puchhte hain mere kadam mujh se tera pata,
tum bin ho jaati hai pareshaan yeh mohabbat,

kabhi guzare the hum jin raahon se wahin,
talaash karti hai apne nishaan yeh mohabbat,

adhoori hai meri chahat, meri ibaddat tere bagair,
dhoonde ab apna meharbaan yeh mohabbat,

aye kaash ke woh samaj jaaye haal iss dil ka,
lafzon mein kaha hoti hai bayaan yeh mohabbat.

you never will be mine

you never will be mine,
I know it from the start,
I just take what could have been
I know I can't win.

let me hold you
and pretend that you mine,
while we together,
let's make love
like never before,


you never be mine,
I must remember the good times we had
and sharing the little things we used to do
and let me dream a while,
give me your sweetest love
and let me dream.


you will never be mine,
but my darling still,
even if you not mine
give me your sweetest smile
till my world comes to an end,
you never will be mine...

for nine long months all I have done is thinking of you

for nine long months,
all I have done is thinking of you.
I like you so much,
I don't know what to do.

when I told you what you wanted to know,
you got up and walked away.
you just left me sitting there,
with absolutely nothing to say.

I told you how I felt,
and you made me feel stupid.
now it’s your fault,
I stopped believing in cupid.

ya I still see you,
you are always around.
but all I can do,
is put on a great big frown.

you are just a simple reminder,
of what I never had.
now you can stop asking me,
why I look so sad.

I thought you would react different,
but you are just like every other girls
I should have never told you I liked you,
but I did not wanna lie.

next time I have those feelings,
I will know what not to do.
I just want you to know,
I regret telling you!.

kash kabhi jo pa sakte

yun hi chahata tha dil mera,
kabhi chhu kar tujhko pyar karun.
hatho mein lekar hath tera,
chahat ka ikraar karun.

kash kabhi jo pa sakte,
hum teri chahat ko apna.
yun hi chahata tha dil mera,
main tumse kabhi takraar karun.

tab tab tune mujhko door kiya,
jab jab aana chaha paas tere.
yun hi chahata tha dil mera,
pyar tujhe beshumar karun.

kash kabhi jo manga hota,
tumne mujhse meri zindagi.
yun hi chahata tha dil mera,
tujhe kabhi na inkaar karun.

toote khwab hain

hum dard bhare nigaha se unko doondte rahe,
woh na samjh the, humse door jaane lage,

dard zakhm bankar uttar gaye mere dil mein,
toot gaye khwab, bikar gaye aarman mere dil ke,

shiddat se hum unse mohabbat karte rahe,
woh humein unke dil se hadd-e-nazar karte rahe

khair dekhi hai humne unki mohabbat,
dekhi hai humne unka aithbaar,

na sikwa karenge unse na gilla karenge,
mohabbat ke rahon mein hum kurbaan ho jaayenge,

chahe jord do mere toote dil ke tukade,
ya pehenao humare pairo par zanjeer,

aur kya kar paayenge aap humare liye,
toote khwab hain, bangaye ho ghair humare liye,

ek guzarish karte rahe hum aapse,
yaadein sataye na meri maut ki khabar se.

hum judaa ho jayein ge to dil ko kya samjhaaoge

mere liye namumkin hai par tum bhi nahi kar paaoge,
hum judaa ho jayein ge to dil ko kya samjhaaoge,

khushi ka yeh mauka ki tum manzil ko paa rahe ho,
par yeh gham zaroor hai ke mujh se door jaa rahe ho,

dekho jaate jaate tum meri simt na dekhna,
aur na hi koi khayaal mera apne dil mein uss pal rakhna,

warna tum bhi ro doge aur mujh ko bhi rulaaoge,
hum judaa ho jayeinge to dil ko kya samjhaaoge,

jo pal sath bitaaye woh yaad yakinan aayeinge,
kabhi kareinge namm naina, aur kabhi hansayeinge,

jab yaad meri aayegi to tum chaand ko dekha karna,
meri nazar hai wahin kehin bas yeh socha karna,

koi bhi halaat ho, aise mein tum muskuraaoge,
hum judaa ho jayeinge to tum dil ko kya samjhaaoge.


unka naam likh kar kayi baar mitaya humne

chot khakar bhi zakhm ko chupaya humne,
zehar pikar bhi mooh na banaya humne,
na jaane kyun woh aaj itna yaad aaye,
ki unka naam likh kar kayi baar mitaya humne.

thaam lo mujhe kahi doob na jaau

aaj tujh se baat huyi,
laga mere dukho ki raat huyi,
aashk aankho se bahane lage,
bahate huye ye kahane lage,

ke ek din main bhi tere jaisa tha,
pyaar main bhi kerta tha,
need meri bhi jaati thi,
kagaj ke tukade se khushi laut aati thi,

seene mein dard hone laga hai,
yaado mein dil dubane laga hai,
phir wahi din yaad aa rahein hain,
dil ko aur dukha rahe hain,

khamosh baitha tha main kab se,
sab ab mujhe jaga rahein hain,
bheed mein akela ho gaya hoon,
aaj main tujh mein kho gaya hoon,

thaam lo mujhe kahi doob na jaau,
din to dekh na paaya,
kahi raat bhi na dekh paau.

today I am gonna meet her

been waiting for this for days
knew it will come someday,

my heart is beating very fast
as the moment comes at last,

today I am gonna meet her
at last, we will be together.

why is the clock so slow
it is not how it should flow,

the sky above was all so clear
now roaring clouds is what I hear,

oh my god it might rain
no god not all over again.

I see someone come running
that is her, I have a feeling,

she came into my open arms
her head near my beating heart,

I held her tight and hugged her
I wish this would last forever,

I held her face and smiled
as I looked in her ocean eyes,

it started to rain as I hugged her
heavens above had blessed us,

oh I love it when it rains
I feel her and the one above.

All Time's Favourite Posts