mujhe tum apna bana lo

rang khwaishon ke kitne roz hai bante,
gham-e-judai mein hum har pal hai jalte,
in andheron mein ujalo ke nishan bana do,
bohat kiya intezaar ki mujhe tum apna bana lo,
haan mujhe tum apna bana lo….

jayein kahan ki hosh mein kahan rehte hain,
sitam-e-zamana kaise ro ro ke hum sehte hain,
har dard-e-mohabbat se hume nizat dila do,
bahot kiya inkkar ki mujhe tum apna bana lo,
haan sanam mujhe tum apna bana lo….

khwaab-o-khayalon mein khoye zamana beeta,
tujh bin marta hoon, main nahi ek pal bhi jeeta,
band ho chuki saansen apne, deedar se chala do,
bahot jiya sansar... ki mujhe tum apna bana lo,
haan mujhe tum apna bana lo….

loote musafir sa teri rah mein khada hoon,
poori na hone wali ek chaah mein pada hoon,
nibha ke sath mera, yeh saccha pyar bana do,
bahot beete malhar ki mujhe tum apna bana lo,
haan tum mujhe apna bana lo….

hum teri sunne ko kitne baras ab tarse,
ashq na jane kitne meri aankhon se barse,
dariya-e-ishq mein khila mujhe ek kamal bana do,
bahot kiya izhar ki mujhe tum apna bana lo,
haan mujhe tum apna bana lo...! 

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts